dharti mata
yaad hai mujh ko jab maiñ chaḌh kar
ek pahāḌī kī choTī par
shāḳh pe ek daraḳht ke baiThā
kartā thā maiñ terā nazārā
kosoñ tak vo terā sheva
dhānī māshī kā hī bhūrā
kosoñ tak vo tere maidāñ
suthre saaf chaTīle maidāñ
chhiTkī chhiTkī jhāḌiyāñ us par
qudrat kī gul-kāriyāñ us par
taal talayyāñ dariyā retī
baaġh chaman ābādī khetī
aise the sab merī nazar meñ
paa.eñ baaġh ho jaise ghar meñ
jab maiñ ye sab dekh rahā thā
ḳhush thā dil aur ye kahtā thā
hadd-e-nazar ko aur baḌhā.ūñ
aisī bulandī par chaḌh jā.ūñ
aisī choTī par jā baiThūñ maiñ
saaf jahāñ se dekh sakūñ maiñ
shahr aur suube gaañv aur qasbe
bikhre bikhre chhiTke chhiTke
saarā qudrat kā furniture
mere aage aa.e simaT kar
saarī insānī ābādī
ya.anī duniyā kī ābādī
mere aage khel rahī ho
rotī gaatī aur hañstī ho
is mahviyyat meñ jab maiñ thā
mujh ko huā mālūm ki goyā
koī mujh ko khīñch rahā hai
chauñk paḌā maiñ kaun hai kyā hai
yaad hai mujh ko jab main chaDh kar
ek pahaDi ki choTi par
shaKH pe ek daraKHt ke baiTha
karta tha main tera nazara
koson tak wo tera shewa
dhani mashi ka hi bhura
koson tak wo tere maidan
suthre saf chaTile maidan
chhiTki chhiTki jhaDiyan us par
qudrat ki gul-kariyan us par
tal talayyan dariya reti
bagh chaman aabaadi kheti
aise the sab meri nazar mein
paen bagh ho jaise ghar mein
jab main ye sab dekh raha tha
KHush tha dil aur ye kahta tha
hadd-e-nazar ko aur baDhaun
aisi bulandi par chaDh jaun
aisi choTi par ja baiThun main
saf jahan se dekh sakun main
shahr aur sube ganw aur qasbe
bikhre bikhre chhiTke chhiTke
sara qudrat ka furniture
mere aage aae simaT kar
sari insani aabaadi
yani duniya ki aabaadi
mere aage khel rahi ho
roti gati aur hansti ho
is mahwiyyat mein jab main tha
mujh ko hua malum ki goya
koi mujh ko khinch raha hai
chaunk paDa main kaun hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.