Dhol ka poll
maiñ hī maiñ huuñ
aur merī is maiñ maiñ kī mimyāhaT meñ
apne na hone ke ḳhauf kī jhuñjhlāhaT hai
samajh ga.e nā
aapas hī kī baat varna ''alif'' se ''ye'' tak
maiñ maiñ kī gardān hī merī Tiis hai
ye kyā
aap bhī bhole bāchhā haiñ
maiñ ne kahā nā mujhe na DhūñDeñ
aisī fuzūl talāsh kā maqsad
mere andar to mat jhāñkeñ
haañ bāhar se jitnā chāhe bajā.eñ maiñ maiñ
maiñ maiñ
dekhā ye sarkārī naap tol hai
yahī to Dhol kā poll hai
main hi main hun
aur meri is main main ki mimyahaT mein
apne na hone ke KHauf ki jhunjhlahaT hai
samajh gae na
aapas hi ki baat warna alif se ye tak
main main ki gardan hi meri Tis hai
ye kya
aap bhi bhole bachha hain
main ne kaha na mujhe na DhunDen
aisi fuzul talash ka maqsad
mere andar to mat jhanken
han bahar se jitna chahe bajaen main main
main main
dekha ye sarkari nap tol hai
yahi to Dhol ka poll hai
- Book : siip-volume-35 (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.