dhuan uTh raha hai
dhuāñ uTh rahā hai
ufuq se dhuāñ uTh rahā hai
samundar kī sāñseñ ukhaḌne lagī haiñ
bahut dhīmī dhun par
koī māhiyā gā rahā hai
harakat harakat harakat harakat
quā shal hue jā rahe haiñ
achānak vo aabī parindoñ ko uḌtā huā dekhte haiñ
sabhī chīḳhte haiñ
tū sultān sāhib sarīr aamdī
alā kulle shai.in qādīr aamdī
kalīsā shivāle muqaddas nadī
azaañ kī phuvāroñ se saarā badan bhīgtā hai
koī āñkheñ phāḌe hue
kah rahā hai
ki vo dhund ke us taraf
raushnī raushnī raushnī raushnī
sabhī chīḳhte haiñ
sarā.e meñ taalā paḌā hai!
ufuq se dhuāñ uTh rahā hai!!
dhuan uTh raha hai
ufuq se dhuan uTh raha hai
samundar ki sansen ukhaDne lagi hain
bahut dhimi dhun par
koi mahiya ga raha hai
harakat harakat harakat harakat
qua shal hue ja rahe hain
achanak wo aabi parindon ko uDta hua dekhte hain
sabhi chiKHte hain
tu sultan sahib sarir aamdi
ala kulle shain qadir aamdi
kalisa shiwale muqaddas nadi
azan ki phuwaron se sara badan bhigta hai
koi aankhen phaDe hue
kah raha hai
ki wo dhund ke us taraf
raushni raushni raushni raushni
sabhi chiKHte hain
sarae mein tala paDa hai!
ufuq se dhuan uTh raha hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.