dhund
musāfiroñ se kaho āsmāñ ko mat dekheñ
na koī abr kā TukḌā
na koī tār-e-shafaq
guzashta shaam kā uTThā huā vo gard-o-ġhubār
abhī talak haiñ fazā.eñ usī se ālūda
vo ek aag kabhī zād-e-rāh thii. apnā
jahāñ qayām kiyā thā
vahīñ pe chhoḌ aa.e
to ahl-e-qāfila
ab dāstān-go se kaho
koī rivāyat-e-kuhna koī hikāyat-e-nau
jo ḳhuuñ ko sard kare
aur soch bikhrā de
ki aaise vaqt meñ ḳhāmoshiyāñ to Thiik nahīñ
musafiron se kaho aasman ko mat dekhen
na koi abr ka TukDa
na koi tar-e-shafaq
guzashta sham ka uTTha hua wo gard-o-ghubar
abhi talak hain fazaen usi se aaluda
wo ek aag kabhi zad-e-rah thi apna
jahan qayam kiya tha
wahin pe chhoD aae
to ahl-e-qafila
ab dastan-go se kaho
koi riwayat-e-kuhna koi hikayat-e-nau
jo KHun ko sard kare
aur soch bikhra de
ki aaise waqt mein KHamoshiyan to Thik nahin
- Book : Ber Aab e Neel (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.