dhund
dil kī sab dīvāroñ par
ḳhvāhish ke mīnāroñ par
naam ko tere likhtī huuñ
terā naam jo āñkhoñ meñ
ik but sā ban jaatā hai
us ko maiñ chamkātī huuñ
chāñd kī raushan kirnoñ se
phir kuchh aise hotā hai
dam-e-sahar jab dekhtī huuñ
dhund meñ tum aa jaate ho
mujhe bahut hī rulāte ho
dil ki sab diwaron par
KHwahish ke minaron par
nam ko tere likhti hun
tera nam jo aankhon mein
ek but sa ban jata hai
us ko main chamkati hun
chand ki raushan kirnon se
phir kuchh aise hota hai
dam-e-sahar jab dekhti hun
dhund mein tum aa jate ho
mujhe bahut hi rulate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.