dhund ka safar
duur tak dhuñdlake se pur hai fazā vaadī kī
shai har ik duud ne āġhosh meñ le rakkhī hai
rahguzar golf kā maidān sabza-zār-o-daraḳht
sabt tasvīr kī mānind hue haiñ saare
shahr kī koī imārat nazar nahīñ aatī
koī gul koī harārat nazar nahīñ aatī
ḳhāmushī sabt hai behosh sī be-hoshī hai
ḳhvāb ḳhvābīda hai mad.hosh sī mad.hoshī hai
koī haijān nahīñ dukh nahīñ rāhat bhī nahīñ
duur tak koī nahīñ kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ
ek jānib ki jidhar dhund aur ziyāda hai
vo kisī saa.e ke mānind chalā jaatā hai
dur tak dhundlake se pur hai faza wadi ki
shai har ek dud ne aaghosh mein le rakkhi hai
rahguzar golf ka maidan sabza-zar-o-daraKHt
sabt taswir ki manind hue hain sare
shahr ki koi imarat nazar nahin aati
koi gul koi hararat nazar nahin aati
KHamushi sabt hai behosh si be-hoshi hai
KHwab KHwabida hai madhosh si madhoshi hai
koi haijaan nahin dukh nahin rahat bhi nahin
dur tak koi nahin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
ek jaanib ki jidhar dhund aur ziyaada hai
wo kisi sae ke manind chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.