dhund se lipTa rasta
mere andar
mire aage pīchhe bhī maiñ huuñ
zamānoñ ke sāyoñ kī vus.at sameTe
mirā dā.era apne imkān kī had pe nauha-kunāñ hai
jahāñ dhund ke saath bahtī huī maut
ab ek jañgal banā.e khaḌī hai
mirī aañkh meñ munjamid ḳhauf tahlīl hone ko tayyār hai
ye vo lamha hai
jis kī gavāhī kī namkīnī merā halāl badan hai
magar kyā ye mere liye hai?
kisī aur kī aañkh meñ ḳhauf tahlīl hone ko tayyār bhī hai?
mere andar
mire aage pīchhe koī aur bhī hai?
jahāñ maiñ khaḌā huuñ
vahāñ maut kī uñgliyāñ jañgalī ḳhauf bunñe meñ masrūf haiñ
yahāñ se bahut duur
ik nīl-gūñ jhiil meñ tairtī machhliyāñ
apnī āñkhoñ kī hairāniyāñ
saaf shaffāf, paanī meñ yuuñ gholtī haiñ
mire hoñT jaise kisī jism ke ā.īne ke tahayyur ko toḌeñ
vahāñ koī taaza havāoñ ke dariyā meñ
tairāk hone kī ḳhvāhish jagātā hai
lekin jahāñ maiñ khaḌā huuñ
vahāñ zindagī DhūñDne kī mashaqqat (mashiyat)
hameñ zinda rahne pe majbūr to kar rahī hai
magar āsmānoñ pe nazreñ jamā.e hue
ham ko patthar chabāne kā aadī banā.e hue
mere andar
mere aage pichhe bhi main hun
zamanon ke sayon ki wusat sameTe
mera daera apne imkan ki had pe nauha-kunan hai
jahan dhund ke sath bahti hui maut
ab ek jangal banae khaDi hai
meri aankh mein munjamid KHauf tahlil hone ko tayyar hai
ye wo lamha hai
jis ki gawahi ki namkini mera halal badan hai
magar kya ye mere liye hai?
kisi aur ki aankh mein KHauf tahlil hone ko tayyar bhi hai?
mere andar
mere aage pichhe koi aur bhi hai?
jahan main khaDa hun
wahan maut ki ungliyan jangali KHauf bunne mein masruf hain
yahan se bahut dur
ek nil-gun jhil mein tairti machhliyan
apni aankhon ki hairaniyan
saf shaffaf, pani mein yun gholti hain
mere honT jaise kisi jism ke aaine ke tahayyur ko toDen
wahan koi taza hawaon ke dariya mein
tairak hone ki KHwahish jagata hai
lekin jahan main khaDa hun
wahan zindagi DhunDne ki mashaqqat (mashiyat)
hamein zinda rahne pe majbur to kar rahi hai
magar aasmanon pe nazren jamae hue
hum ko patthar chabane ka aadi banae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.