dhundalke
zindagī ke sahrā meñ
be-karāñ udāsī hai
duur tak añdherā hai
har taraf siyah bādal
āsmāñ pe chhā.e haiñ
zulmatoñ ke saa.e haiñ
mehr-o-māh-o-anjum bhī
gum haiñ is dhuñdalke meñ
jaane is tarah kab tak
rahguzār-e-hastī par
ik bagūle kī mānind
dar-ba-dar phirūñgā maiñ
zindagi ke sahra mein
be-karan udasi hai
dur tak andhera hai
har taraf siyah baadal
aasman pe chhae hain
zulmaton ke sae hain
mehr-o-mah-o-anjum bhi
gum hain is dhundalke mein
jaane is tarah kab tak
rahguzar-e-hasti par
ek bagule ki manind
dar-ba-dar phirunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.