dhundla lamha
jazboñ kī laḌā.ī meñ
jab kabhī ehsās par vaar ho jaa.e
sab be-kār ho jaa.e
duāoñ kā ek muqaddas silsila
āsmānoñ se apnā naata toḌ Daale
vaqt ham ko vahshatoñ ke havāle kar ke
chup-chāp ruḳhsat ho jaa.e
aur muqaddar bhī panāh dene se munkir ho jaa.e
to ye sab
faqat is baat kā ishāra hai...
ki ḳhud se be-ḳhabar ho kar
jo lamha ālūda kar ke ham ne falak kī taraf uchhālā thā
aaj vahī lamha
āsmānoñ se fatvā le kar
ham par hukmarānī karne aayā hai
jazbon ki laDai mein
jab kabhi ehsas par war ho jae
sab be-kar ho jae
duaon ka ek muqaddas silsila
aasmanon se apna nata toD Dale
waqt hum ko wahshaton ke hawale kar ke
chup-chap ruKHsat ho jae
aur muqaddar bhi panah dene se munkir ho jae
to ye sab
faqat is baat ka ishaara hai
ki KHud se be-KHabar ho kar
jo lamha aaluda kar ke hum ne falak ki taraf uchhaala tha
aaj wahi lamha
aasmanon se fatwa le kar
hum par hukmarani karne aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.