DhunD raha hun main insan
dhartī kis kī khoj meñ phirtī rahtī hai
sūraj kis kī yaad meñ jaltā rahtā hai
ambar kī gahrī niilī chādar par chāñd sitāre
kis se milne kī ḳhvāhish meñ ūñghte rahte haiñ
zarra zarra duniyā kā
hai kis ke vāste gardish meñ
mujh ko kyā ma.alūm
ki maiñ to ḳhud bhī kitnī sadiyoñ se
dhartī sūraj chāñd sitāroñ ke mānind pareshāñ huuñ
apnī khoj meñ raqsāñ huuñ
sargardāñ huuñ
is dhartī par sirf farishte milte haiñ
yā phir shaitān
DhūñD rahā huuñ maiñ insān
dharti kis ki khoj mein phirti rahti hai
suraj kis ki yaad mein jalta rahta hai
ambar ki gahri nili chadar par chand sitare
kis se milne ki KHwahish mein unghte rahte hain
zarra zarra duniya ka
hai kis ke waste gardish mein
mujh ko kya malum
ki main to KHud bhi kitni sadiyon se
dharti suraj chand sitaron ke manind pareshan hun
apni khoj mein raqsan hun
sargardan hun
is dharti par sirf farishte milte hain
ya phir shaitan
DhunD raha hun main insan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.