DhunDte jaen kiran
zindagī
āsān bhī
mushkil bhī thī
gunjlak itnī na thī
gard itnī jam ga.ī hai
zehn ke ā.īne par
dhund meñ Duubī nazar aatī hai
saarī kā.enāt
dil ke reshoñ meñ
siyāhī jam ga.ī hai be-tarah
aisā lagtā hai
ki
daldal meñ utarte jā rahe haiñ
lamha lamha ham sabhī
saut gum
aur
Dūbne ko hai sisaktī raushnī
āsmāñ kī aañkh shaq hone ko hai
jo hai lā-hāsil
use hāsil samajh kar kyoñ na ham
DhūñDte jaa.eñ kiran isbāt kī
zindagī
āsān bhī
mushkil bhī hai
gunjlak bhī hai
magar
zindagi
aasan bhi
mushkil bhi thi
gunjlak itni na thi
gard itni jam gai hai
zehn ke aaine par
dhund mein Dubi nazar aati hai
sari kaenat
dil ke reshon mein
siyahi jam gai hai be-tarah
aisa lagta hai
ki
daldal mein utarte ja rahe hain
lamha lamha hum sabhi
saut gum
aur
Dubne ko hai sisakti raushni
aasman ki aankh shaq hone ko hai
jo hai la-hasil
use hasil samajh kar kyon na hum
DhunDte jaen kiran isbaat ki
zindagi
aasan bhi
mushkil bhi hai
gunjlak bhi hai
magar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.