dhup
chhat se utrī maiñ
to phir dīvār pe aa.ī
aur achānak chham se kuud paḌī āñgan meñ
pattoñ kī peshānī chūmī
phūloñ se sargoshī kī
āñchal se kuchh khel kiye
phir baiTh ga.ī āñgan meñ baiThī
daadī maañ kī god meñ jā kar
paas ghaḌe rakhe the kuchh
gorī miTTī ke
un par jā kar baiTh ga.ī kyūñki pyāsī thī
lekin ye kyā ghaḌe haTāo dhuup aa ga.ī
guuñj uThī āvāz āñgan meñ
aur kisī ne ghaḌe haTā.e
maiñ pyāsī hī vāpas aa.ī
soch rahī thī
maiñ niklī thī pyaar bāñTne
phir bhī kyoñ maiñ pyāsī huuñ
pyaar bāñTne vaale kyā
yūñhī pyāse rah jaate haiñ
chhat se utri main
to phir diwar pe aai
aur achanak chham se kud paDi aangan mein
patton ki peshani chumi
phulon se sargoshi ki
aanchal se kuchh khel kiye
phir baiTh gai aangan mein baiThi
dadi man ki god mein ja kar
pas ghaDe rakhe the kuchh
gori miTTi ke
un par ja kar baiTh gai kyunki pyasi thi
lekin ye kya ghaDe haTao dhup aa gai
gunj uThi aawaz aangan mein
aur kisi ne ghaDe haTae
main pyasi hi wapas aai
soch rahi thi
main nikli thi pyar banTne
phir bhi kyon main pyasi hun
pyar banTne wale kya
yunhi pyase rah jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.