dhup ka azab
dhuup
khaḌī thī bāhar
intizār meñ hamāre
ki hameñ jalā kar
kar de raakh
lekin ham
maut se be-ḳhabar
chhoTe se restaurant
cipla meñ baiThe
dekh rahe the mustaqbil ke ḳhvāb
amn aur ḳhidmat kī alāmat
safed vardī ne
jab ye hameñ batāyā
ki shahr meñ hindū-muslim fasād ho gayā hai
to hāthoñ se ham us ke
ThanDe paanī se bhare hue
gilās le kar pī ga.e
dhuup ke azaab se
ham bhaag kar
yahāñ aa.e the
ham ne apne
kaan band kar liye
aur kho ga.e apnī bātoñ meñ
lekin
dūsre tabloñ kī plaToñ meñ
afvāheñ khanaktī rahīñ
bāhar dhuup
khaḌī thī intizār meñ hamāre
ki hameñ jalā kar
kar de raakh
dhup
khaDi thi bahar
intizar mein hamare
ki hamein jala kar
kar de rakh
lekin hum
maut se be-KHabar
chhoTe se restaurant
cipla mein baiThe
dekh rahe the mustaqbil ke KHwab
amn aur KHidmat ki alamat
safed wardi ne
jab ye hamein bataya
ki shahr mein hindu-muslim fasad ho gaya hai
to hathon se hum us ke
ThanDe pani se bhare hue
gilas le kar pi gae
dhup ke azab se
hum bhag kar
yahan aae the
hum ne apne
kan band kar liye
aur kho gae apni baaton mein
lekin
dusre tablon ki plaTon mein
afwahen khanakti rahin
bahar dhup
khaDi thi intizar mein hamare
ki hamein jala kar
kar de rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.