Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup ke sae

Altaf Gauhar

dhup ke sae

Altaf Gauhar

shaam dulhan tarah

apne rañgoñ meñ nahā.ī huī sharmā.ī huī baiThī hai

gosha-e-chashm se kājal siyāhī abhī aañsū ban kar

bahte ġhāze meñ nahīñ jazb huī

abhī koī nahīñ bāloñ dil-afroz pareshānī meñ

muskurātī huī sindūr maañg

ghulte rañgoñ meñ abhī kāhish-e-jāñ baaqī hai

ghulte rañgoñ koī kyā jaane

kab miTeñ kaise miTeñ

shab tārīkiyāñ har samt bikhar jaa.eñ to ārām mile

ye chamakte hue zarre zamīñ

zauq-e-tamāshā na rahe

koī tamannā na rahe

ik kiran chhoḌ ke jaatī nahīñ

chashmakeñ kartī huī khel rahī hai ab tak

zard-rū ghaas ke siine pe thiraktī huī baḌh jaatī hai

sañg-rezoñ nigāhoñ meñ chamaktī huī lauT aatī hai

koī samjhā.e use jaao chalo jaao yahāñ ab kyā hai

dhuup ke kāñpte sāyoñ ko zarā baḌhne do

shab tārīkiyāñ chhā jaane do

maiñ ne sau baar kahā ek na maanī us ne

muskurātī huī shāḳhoñ pe laraztī rahī

yuuñ bhī taḌpāne meñ ik lutf to hai soz to hai

rañg ghulte khileñge āḳhir

ghulte rañgoñ koī kyā jaane

kab haTeñ kaise miTeñ

apne rañgoñ meñ nahā.ī huī sharmā.ī huī

shaam dulhan tarah baiThī rahī baiThī rahī

sham dulhan ki tarah

apne rangon mein nahai hui sharmai hui baiThi hai

gosha-e-chashm se kajal ki siyahi abhi aansu ban kar

bahte ghaze mein nahin jazb hui

abhi koi nahin baalon ki dil-afroz pareshani mein

muskuraati hui sindur ki mang

ghulte rangon mein abhi kahish-e-jaan baqi hai

ghulte rangon ka koi kya jaane

kab miTen kaise miTen

shab ki tarikiyan har samt bikhar jaen to aaram mile

ye chamakte hue zarre zamin

zauq-e-tamasha na rahe

koi tamanna na rahe

ek kiran chhoD ke jati hi nahin

chashmaken karti hui khel rahi hai ab tak

zard-ru ghas ke sine pe thirakti hui baDh jati hai

sang-rezon ki nigahon mein chamakti hui lauT aati hai

koi samjhae use jao chalo jao yahan ab kya hai

dhup ke kanpte sayon ko zara baDhne do

shab ki tarikiyan chha jaane do

main ne sau bar kaha ek na mani us ne

muskuraati hui shaKHon pe larazti hi rahi

yun bhi taDpane mein ek lutf to hai soz to hai

rang ghulte hi khilenge aaKHir

ghulte rangon ka koi kya jaane

kab haTen kaise miTen

apne rangon mein nahai hui sharmai hui

sham dulhan ki tarah baiThi rahi baiThi rahi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now