dhup ki Thokar
niiñd meñ chalte chalte yak-dam
gir jaate haiñ
uude phuul shaTāle ke
bair bahūTī sāvan kī
duur ufuq par
arz-o-samā ko joḌne vaalī
maddham line
aur use chhūne kī dhun meñ
nanhe narm gulābī paañv
sāñval shaam paḌe kā manzar
phailā chāñd samundar
saarā bachpan gir jaatā hai
dhuup kī Thokar rah jaatī hai
nind mein chalte chalte yak-dam
gir jate hain
ude phul shaTale ke
bair bahuTi sawan ki
dur ufuq par
arz-o-sama ko joDne wali
maddham line
aur use chhune ki dhun mein
nanhe narm gulabi panw
sanwal sham paDe ka manzar
phaila chand samundar
sara bachpan gir jata hai
dhup ki Thokar rah jati hai
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 166)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.