dhup mein barish
kal raat na jaane kyoñ kaise
ek ajiib sī ḳhvāhish hone lagī
vo shahar jo ham se chhūTā hai
usī shahar kī ḳhvāhish hone lagī
vo shahar jo ham se chhūTā hai
ab us kā nazzāra kaisā hai
kis se pūchhūñ kaise pūchhūñ
har jaan se pyārā kaisā hai
kyā ab bhī hamāre ham-jolī
be-kār paḌe haiñ gaañv meñ
kyā ab bhī beḌiyāñ laTkī haiñ
un dauḌne vaale paañv meñ
kyā ab bhī papīhā gaatā hai
us būḌhe niim kī golī par
kyā ab bhī mausam-e-sarmā meñ
phūloñ kī numā.ish hotī hai
kyā ab bhī patañgeñ uḌtī haiñ
pāvan chhaT ke tyauhāroñ meñ
kyā ab bhī log nahāte haiñ
sāvan kī pyārī phuvāroñ meñ
kyā ab bhī log nikalte haiñ
vaise hī iid ke mauqe par
kyā ab bhī apne mohalle meñ
mehmān-navāzī hotī hai
kyā din the vo jo biit ga.e
kyā mere saare miit ga.e
ai kaash koī laḌtā ham se
tum haar ga.e ham jiit ga.e
vo apnā bachpan kidhar gayā
vo apnī javānī kahāñ ga.ī
vo shaam jo phir aa.ī hī nahīñ
vo sub.h suhānī kahāñ ga.ī
kal raat ga.ī sab baat ga.ī
ya.anī saarī sauġhāt ga.ī
bin mausam ke jo aa.ī thī
mujhe rulā ke vo barsāt ga.ī
jab maiñ us se pūchhā thā
ab shahar hamārā kaisā hai
kyā dhuup meñ bārish hotī hai
kyārī ḳhvāhish hotī hai
vo hañste hañste rone lagī
aur dhuup meñ bārish hone lagī
kal raat na jaane kyon kaise
ek ajib si KHwahish hone lagi
wo shahar jo hum se chhuTa hai
usi shahar ki KHwahish hone lagi
wo shahar jo hum se chhuTa hai
ab us ka nazzara kaisa hai
kis se puchhun kaise puchhun
har jaan se pyara kaisa hai
kya ab bhi hamare ham-joli
be-kar paDe hain ganw mein
kya ab bhi beDiyan laTki hain
un dauDne wale panw mein
kya ab bhi papiha gata hai
us buDhe nim ki goli par
kya ab bhi mausam-e-sarma mein
phulon ki numaish hoti hai
kya ab bhi patangen uDti hain
pawan chhaT ke tyauhaaron mein
kya ab bhi log nahate hain
sawan ki pyari phuwaron mein
kya ab bhi log nikalte hain
waise hi id ke mauqe par
kya ab bhi apne mohalle mein
mehman-nawazi hoti hai
kya din the wo jo bit gae
kya mere sare mit gae
ai kash koi laDta hum se
tum haar gae hum jit gae
wo apna bachpan kidhar gaya
wo apni jawani kahan gai
wo sham jo phir aai hi nahin
wo subh suhani kahan gai
kal raat gai sab baat gai
yani sari saughat gai
bin mausam ke jo aai thi
mujhe rula ke wo barsat gai
jab main us se puchha tha
ab shahar hamara kaisa hai
kya dhup mein barish hoti hai
kyari KHwahish hoti hai
wo hanste hanste rone lagi
aur dhup mein barish hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.