dhyan qabr mein utarta KHayal
merā rasta qabristān se ho kar aage jaatā hai
is raste se aur bhī log guzar kar aage jaate haiñ
lekin mere saath hī āḳhir saa.e se kyuuñ rahte haiñ
mere man meñ āḳhir kaisī vīrānī qabroñ kī hai
raat kī ḳhāmoshī meñ jheñgur kī haiñ kaisī āvāzeñ
kuchh din se miTTī kī ḳhushbū
kyuuñ chipkī hai sāñsoñ se
mere paañv ḳhaak se lag kar kis kā mātam sunte haiñ
merā dīvāroñ ke andar dam kyuuñ ghuTne lagtā hai
mere sar par bojh hai kyuuñ katboñ par likkhe harfoñ kā
mujhe agar kī ḳhushbū kyuuñ aatī hai apne andar se
kyuuñ merī āñkhoñ meñ kaḌve tel kā diip sā jaltā hai
merā siina phūloñ se kyuuñ bojhal hone lagtā hai
kyuuñ is raste par chalte maiñ ḳhud se pūchhne lagtā huuñ
maiñ qabroñ ke andar huuñ
yā qabreñ mere andar haiñ
mera rasta qabristan se ho kar aage jata hai
is raste se aur bhi log guzar kar aage jate hain
lekin mere sath hi aaKHir sae se kyun rahte hain
mere man mein aaKHir kaisi virani qabron ki hai
raat ki KHamoshi mein jhengur ki hain kaisi aawazen
kuchh din se miTTi ki KHushbu
kyun chipki hai sanson se
mere panw KHak se lag kar kis ka matam sunte hain
mera diwaron ke andar dam kyun ghuTne lagta hai
mere sar par bojh hai kyun katbon par likkhe harfon ka
mujhe agar ki KHushbu kyun aati hai apne andar se
kyun meri aankhon mein kaDwe tel ka dip sa jalta hai
mera sina phulon se kyun bojhal hone lagta hai
kyun is raste par chalte main KHud se puchhne lagta hun
main qabron ke andar hun
ya qabren mere andar hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 138)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.