Diary mein likha main
jab pahāḌ
ro rahe the
merā janm huā
maiñ apnā ḳhvāb
berī ke peḌoñ meñ bo kar
muskurāhaT kī talāsh meñ nikal paḌā
raste meñ mujhe
ek
diary milī
jis ke pahle safhe par darj thā
zindagī ḳhud-baḳhud koī faisla nahīñ kartī balki ye
mahz aap ke faisloñ ke anjām se aap ko milātī hai
diary ke baaqī safhe bilkul
chup the
maiñ kisī museum meñ tumheñ nahīñ pā sakā
qabristān meñ mujhe
mahz zard phūloñ kī pattiyāñ milīñ
kisī stadium meñ mujhe nahīñ jaanā
kisī mahfil-e-mausīqī se mujhe lagāo nahīñ hai
pyaar karne ke liye
vādiyoñ kī bajā.e
kisī art gallery kā ruḳh karnā zarūrī nahīñ hai
kisī art gallery kā ruḳh karnā zarūrī nahīñ hai
jab pahaD
ro rahe the
mera janm hua
main apna KHwab
beri ke peDon mein bo kar
muskurahaT ki talash mein nikal paDa
raste mein mujhe
ek
diary mili
jis ke pahle safhe par darj tha
zindagi KHud-baKHud koi faisla nahin karti balki ye
mahz aap ke faislon ke anjam se aap ko milati hai
diary ke baqi safhe bilkul
chup the
main kisi museum mein tumhein nahin pa saka
qabristan mein mujhe
mahz zard phulon ki pattiyan milin
kisi stadium mein mujhe nahin jaana
kisi mahfil-e-mausiqi se mujhe lagao nahin hai
pyar karne ke liye
wadiyon ki bajae
kisi art gallery ka ruKH karna zaruri nahin hai
kisi art gallery ka ruKH karna zaruri nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.