difaa
ādam-ḳhor sifat thī us kī
vo is jangal se aaya thā
jis meñ ḳhūnī naag pale the
vo chehre par ḳhol chaḌhā.e
insānoñ meñ aan basā thā
apnā jabḌā apne panje
us ne chhupā rakkhe the nazar se
us ma.asūm kī jis ne us ko
shahr kā rasta batlāyā thā
apnī baqā kī ḳhātir yaaro
apnā jabḌā apne panje
maiñ ne bhī ab khol rakhe haiñ
aadam-KHor sifat thi us ki
wo is jangal se aaya tha
jis mein KHuni nag pale the
wo chehre par KHol chaDhae
insanon mein aan basa tha
apna jabDa apne panje
us ne chhupa rakkhe the nazar se
us masum ki jis ne us ko
shahr ka rasta batlaya tha
apni baqa ki KHatir yaro
apna jabDa apne panje
main ne bhi ab khol rakhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.