dipak
taaq pe jaltā pyārā dīpak
kartā hai ujyārā dīpak
raah meñ chhoTā ho ki baḌā
sab kā yaar hamārā dīpak
laḌtā hai himmat ke saath
āñdhī se kab haarā dīpak
dukh ke hai aage sukh kī chhāñv
kartā hai ye ishārā dīpak
raushniyoñ kā sundar naam
jugnū chandā taarā dīpak
jahāñ pe sūraj pahuñch na jaa.e
vahāñ kare ujyārā dīpak
jo baḳhshe āñkhoñ ko nuur
sadā jale vo pyārā dīpak
taq pe jalta pyara dipak
karta hai ujyara dipak
rah mein chhoTa ho ki baDa
sab ka yar hamara dipak
laDta hai himmat ke sath
aandhi se kab haara dipak
dukh ke hai aage sukh ki chhanw
karta hai ye ishaara dipak
raushniyon ka sundar nam
jugnu chanda tara dipak
jahan pe suraj pahunch na jae
wahan kare ujyara dipak
jo baKHshe aankhon ko nur
sada jale wo pyara dipak
- Edition : October
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.