diwali
aa.ī divālī aa.ī divālī giit ḳhushī ke gaao
añdhiyāre ko duur karo tum ghar ghar diip jalāo
siitā raam kī rāhoñ ko ab phūloñ se mahkāo
chaudah baras meñ lauTe ghar ko lachhman siitā raam
aaj har ik nar-nārī ke lab par hai unhīñ kā naam
bāzāroñ meñ lagā huā hai dīvālī kā mela
koī ḳharīde bartan bhānDe koī shaal doshālā
koī ḳharīde ātish-bāzī koī guloñ kī maalā
chaudah baras meñ lauTe ghar ko lachhman siitā raam
aaj har ik nar-nārī ke lab par hai unhīñ kā naam
dulhan kī mānind saje haiñ mandir aur shivāle
puujā kā sāmān sajā.e aa.e haiñ matvāle
dayā dharm kā daan kareñge aaj yahāñ dil vaale
chaudah baras meñ lauTe ghar ko lachhman siitā raam
aaj har ik nar-nārī ke lab par hai unhīñ kā naam
har maz.hab har dharm ke bande gale milan ko aa.eñ
zāt-pāt ke mat-bhedoñ ko dil se aaj miTā.eñ
ek haiñ saare bhārat-vāsī duniyā ko dikhlā.eñ
chaudah baras meñ lauTe ghar ko lachhman siitā raam
aaj har ik nar-nārī ke lab par hai unhīñ kā naam
aai diwali aai diwali git KHushi ke gao
andhiyare ko dur karo tum ghar ghar dip jalao
sita ram ki rahon ko ab phulon se mahkao
chaudah baras mein lauTe ghar ko lachhman sita ram
aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam
bazaron mein laga hua hai diwali ka mela
koi KHaride bartan bhanDe koi shaal doshaala
koi KHaride aatish-bazi koi gulon ki mala
chaudah baras mein lauTe ghar ko lachhman sita ram
aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam
dulhan ki manind saje hain mandir aur shiwale
puja ka saman sajae aae hain matwale
daya dharm ka dan karenge aaj yahan dil wale
chaudah baras mein lauTe ghar ko lachhman sita ram
aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam
har mazhab har dharm ke bande gale milan ko aaen
zat-pat ke mat-bhedon ko dil se aaj miTaen
ek hain sare bhaarat-wasi duniya ko dikhlaen
chaudah baras mein lauTe ghar ko lachhman sita ram
aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.