Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali aur diwali milan

Nazeer Banarasi

diwali aur diwali milan

Nazeer Banarasi

MORE BYNazeer Banarasi

    ghar qismat jagī ghar meñ aa.e sajan

    aise mahke badan jaise chandan ban

    aaj dhartī pe hai sovarg bāñkpan

    apsarā.eñ na kyuuñ gaa.eñ mañglācharan

    zindagī se hai hairān yamrāj bhī

    aaj har diip añdhere pe hai ḳhanda-zan

    un ke qadmoñ se phuul aur phul-vāriyāñ

    āgman un madhumās āgman

    us ko sab kuchh milā jis ko vo mil ga.e

    vo haiñ be-ās aas nirdhan ke dhan

    hai dīvālī tyauhār jitnā sharīf

    shahr bijliyāñ utnī bad-chalan

    un se achchhe to maaTī ke kore diye

    jin se dahlīz raushan hai āñgan chaman

    kauḌiyāñ daañv chit paḌeñ chāhe paT

    jiit to us hai jis paḌ jaa.e ban

    hai dīvālī-milan meñ zarūrī 'nazīr'

    haath milne se pahle diloñ milan

    ghar ki qismat jagi ghar mein aae sajan

    aise mahke badan jaise chandan ka ban

    aaj dharti pe hai sowarg ka bankpan

    apsaraen na kyun gaen manglacharan

    zindagi se hai hairan yamraj bhi

    aaj har dip andhere pe hai KHanda-zan

    un ke qadmon se phul aur phul-wariyan

    aagman un ka madhumas ka aagman

    us ko sab kuchh mila jis ko wo mil gae

    wo hain be-as ki aas nirdhan ke dhan

    hai diwali ka tyauhaar jitna sharif

    shahr ki bijliyan utni hi bad-chalan

    un se achchhe to maTi ke kore diye

    jin se dahliz raushan hai aangan chaman

    kauDiyan danw ki chit paDen chahe paT

    jit to us ki hai jis ki paD jae ban

    hai diwali-milan mein zaruri 'nazir'

    hath milne se pahle dilon ka milan

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 388)
    • Author : Nazeer Banarsi
    • Publication : Educational Publishing House (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now