diwali
dīvālī ke diip jalā.eñ aa jaao
raushan raushan giit sunā.eñ aa jaao
goshe goshe meñ taz.īn-o-zebā.ī
saaf kareñ har dil kī mailī añgnā.ī
fitrat ne bhī mastī meñ lī añgḌā.ī
ḳhushiyoñ kā sañgīt sunā.eñ aa jaao
dīvālī ke diip jalā.eñ aa jaao
raushan raushan giit sunā.eñ aa jaao
āshāoñ kī manzil par sab common ho
nafrat jaa.e pyaar kī jyotī raushan ho
prem nagar meñ chāhe daav pe jīvan ho
bhed-bhāv pe tiir chalā.eñ aa jaao
dīvālī ke diip jalā.eñ aa jaao
raushan raushan giit sunā.eñ aa jaao
raushniyoñ ke jaal bhī kitne sundar haiñ
dīpak mālā.eñ ghar ghar kā zevar haiñ
phul-jhaḌiyoñ jaise chehroñ par tevar haiñ
har zulmat ko aaj miTā.eñ aa jaao
dīvālī ke diip jalā.eñ aa jaao
raushan raushan giit sunā.eñ aa jaao
haar chuke har baazī ab rāvan vaale
lakshmī kī puujā karte haiñ dhan vaale
apnī duniyā ham bechāre man vaale
ātish-bāzī chamkā.eñ aa jaao
dīvālī ke diip jalā.eñ aa jaao
raushan raushan giit sunā.eñ aa jaao
sab ke liye ḳhush-hālī kā ye saal rahe
har insāñ kī qismat meñ zar maal rahe
na koī ab is dhartī par kañgāl rahe
har qismat par nuur banā.eñ aa jaao
dīvālī ke diip jalā.eñ aa jaao
raushan raushan giit sunā.eñ aa jaao
diwali ke dip jalaen aa jao
raushan raushan git sunaen aa jao
goshe goshe mein tazin-o-zebai
saf karen har dil ki maili angnai
fitrat ne bhi masti mein li angDai
KHushiyon ka sangit sunaen aa jao
diwali ke dip jalaen aa jao
raushan raushan git sunaen aa jao
aashaon ki manzil par sab common ho
nafrat jae pyar ki jyoti raushan ho
prem nagar mein chahe daw pe jiwan ho
bhed-bhaw pe tir chalaen aa jao
diwali ke dip jalaen aa jao
raushan raushan git sunaen aa jao
raushniyon ke jal bhi kitne sundar hain
dipak malaen ghar ghar ka zewar hain
phul-jhaDiyon jaise chehron par tewar hain
har zulmat ko aaj miTaen aa jao
diwali ke dip jalaen aa jao
raushan raushan git sunaen aa jao
haar chuke har bazi ab rawan wale
lakshmi ki puja karte hain dhan wale
apni duniya hum bechaare man wale
aatish-bazi chamkaen aa jao
diwali ke dip jalaen aa jao
raushan raushan git sunaen aa jao
sab ke liye KHush-haali ka ye sal rahe
har insan ki qismat mein zar mal rahe
na koi ab is dharti par kangal rahe
har qismat par nur banaen aa jao
diwali ke dip jalaen aa jao
raushan raushan git sunaen aa jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.