diwali
dīvālī ke diip jale haiñ
yaar se milne yaar chale haiñ
chāroñ jānib dhūm-dhaḌākā
chhoTe rocket aur paTāḳha
ghar meñ phul-jhaḌiyāñ chhūTe
man hī man meñ laDDū phūTe
diip jale haiñ ghar āñgan meñ
ujyārā ho jaa.e man meñ
apnoñ kī to baat alag hai
aaj to saare ġhair bhale haiñ
dīvālī ke diip jale haiñ
raam kī jai-jai-kār huī hai
rāvan kī jo haar huī hai
sachche kā har bol hai baalā
jhūTe kā muñh hogā kaalā
sachchā.ī kā Dañkā baaje
sach ke sar par sahrā saaje
jhuuT kī lanka ḳhaak banā ke
raam ayodhya lauT chale haiñ
dīvālī ke diip jale haiñ
hindū muslim sikh īsā.ī
mil kar khā.eñ yaar miThā.ī
bhuul ke shikve aur gile sab
hañste gaate aaj mile sab
kahne ko har dharm judā hai
lekin sab kā ek ḳhudā hai
ik maaTī ke putle 'haidar'
is sāñche meñ ḳhuub Dhale haiñ
dīvālī ke diip jale haiñ
diwali ke dip jale hain
yar se milne yar chale hain
chaaron jaanib dhum-dhaDaka
chhoTe rocket aur paTaKHa
ghar mein phul-jhaDiyan chhuTe
man hi man mein laDDu phuTe
dip jale hain ghar aangan mein
ujyara ho jae man mein
apnon ki to baat alag hai
aaj to sare ghair bhale hain
diwali ke dip jale hain
ram ki jai-jai-kar hui hai
rawan ki jo haar hui hai
sachche ka har bol hai baala
jhuTe ka munh hoga kala
sachchai ka Danka baje
sach ke sar par sahra saje
jhuT ki lanka KHak bana ke
ram ayodhya lauT chale hain
diwali ke dip jale hain
hindu muslim sikh isai
mil kar khaen yar miThai
bhul ke shikwe aur gile sab
hanste gate aaj mile sab
kahne ko har dharm juda hai
lekin sab ka ek KHuda hai
ek maTi ke putle 'haidar'
is sanche mein KHub Dhale hain
diwali ke dip jale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.