diwali ki raat
rang meñ Duub ke nikhrī hai fazā aaj kī raat
dāman-e-farsh meñ hai nūr-e-ḳhudā aaj kī raat
gudgudātī huī ehsās kā har tār-e-latīf
gungunātī huī phirtī hai havā aaj kī raat
baas kā lams masīhā hai sabā āb-e-hayāt
dard ko DhūñDhtī phirtī hai davā aaj kī raat
oḌh lī raunaq-e-bāzār-o-dar-o-bām ne bhī
ramish-o-rañg kī mahfil kī qabā aaj kī raat
shauq-e-taz.īn se be-sāḳhta mahkī hai hayā
lakshmī-rūp suhāgan ne bharā aaj kī raat
diip hī diip haiñ har samt jidhar bhī dekho
jalva-e-husn-e-tanāsub hai sivā aaj kī raat
jagmagāte haiñ lab-e-bām sitāroñ kī tarah
kar ga.ī naql-e-ḳhudā ḳhalq-e-ḳhudā aaj kī raat
shor aur gul meñ numāyāñ hai tasalsul tartīb
thaap table kī hai aahaT kī sadā aaj kī raat
bachpanā bandish-e-parvā se barābar mafrūr
khel aur kuud meñ hai mast havā aaj kī raat
naar se chheḌ rahe nuur ke dīvānoñ kī
kyā huā haath jalā pair jalā aaj kī raat
bāzī-e-jāñ ke khilāḌī haiñ yahī khelne vaale
dekhiye ye bhī panapne kī adā aaj kī raat
ziist ik mashġhala-e-aish nazar aatī hai
sūrat-e-zinda-dilī kyā na huā aaj kī raat
rang mein Dub ke nikhri hai faza aaj ki raat
daman-e-farsh mein hai nur-e-KHuda aaj ki raat
gudgudati hui ehsas ka har tar-e-latif
gungunati hui phirti hai hawa aaj ki raat
bas ka lams masiha hai saba aab-e-hayat
dard ko DhunDhti phirti hai dawa aaj ki raat
oDh li raunaq-e-bazar-o-dar-o-baam ne bhi
ramish-o-rang ki mahfil ki qaba aaj ki raat
shauq-e-tazin se be-saKHta mahki hai haya
lakshmi-rup suhagan ne bhara aaj ki raat
dip hi dip hain har samt jidhar bhi dekho
jalwa-e-husn-e-tanasub hai siwa aaj ki raat
jagmagate hain lab-e-baam sitaron ki tarah
kar gai naql-e-KHuda KHalq-e-KHuda aaj ki raat
shor aur gul mein numayan hai tasalsul tartib
thap table ki hai aahaT ki sada aaj ki raat
bachpana bandish-e-parwa se barabar mafrur
khel aur kud mein hai mast hawa aaj ki raat
nar se chheD rahe nur ke diwanon ki
kya hua hath jala pair jala aaj ki raat
bazi-e-jaan ke khilaDi hain yahi khelne wale
dekhiye ye bhi panapne ki ada aaj ki raat
zist ek mashghala-e-aish nazar aati hai
surat-e-zinda-dili kya na hua aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.