diwali
ho rahe haiñ raat ke diyoñ ke har sū ehtimām
sub.h se jalva-numā hai aaj dīvālī kī shaam
ho chukī ghar ghar sapedī dhul rahī haiñ nāliyāñ
phirtī haiñ kūchoñ meñ miTTī ke khilaune vāliyāñ
bholī-bhālī bachchiyāñ chanDol paapā kar magan
apnī guḌiyoñ ke gharoñdoñ meñ sajī hai anjuman
rasm kī in hikmatoñ ko kaun kah degā fuzūl
rakh diye haiñ Thīkroñ meñ ḳhāna-dārī ke usuul
jiit meñ har shaḳhs vo nau-ḳhez ho yā puḳhta-kār
haar se inkār lab-hā-e-masarrat par nisār
sard mausam kā laḌakpan garm chūlhoñ par shabāb
barf meñ saaqī lagā laayā hai mīnā-e-sharāb
abḳhare ban kar kaḌhā.ī par havā lahkī huī
har galī pakvān kī bū-bās se mahkī huī
ghī tuḌā kar paas vāloñ kī ḳhabar letā huā
char se shāloñ par Tapak jaane se bū detā huā
adh-jale īñdhan kā āñkhoñ meñ dhuāñ bhartā huā
nargis-e-shahlā meñ sīmāb-e-ḳhizāñ bhartā huā
nek-dil patnī kā hissa hai musībat jhelnā
pūriyāñ talne kā pas-manzar hai pāpaḌ belnā
halva-e-be-dūdh kī thāloñ kā bahr-e-be-karāñ
kashtiyāñ bahtī haiñ yā aa jā rahī haiñ mohriyāñ
sālimoñ ke saath haiñ TuuTe khilaune khānd ke
mor kā sar sher kā dhaḌ paañv ġhā.eb saanD ke
sahn meñ kheleñ batāshe abr se barse hue
bartanoñ ke paas pattal raat ke parse hue
kho ga.ī haiñ kaam ke andar kuñvārī laḌkiyāñ
saath vo ham-joliyāñ bhī aa.ī haiñ jo mehmāñ
ek nāzuk uñgliyoñ se devte dhotī huī
dūsrī dho.e huoñ ko chun ke ḳhush hotī huī
aur gaḌvā tīsrī aafat kī par-kālā liye
battiyāñ baTtī hai chauthī ruuī kā gaalā liye
pāñchveñ har sū diye tartīb se dhartī chalī
aur chhaTī battī sajā kar tel se bhartī chalī
ye jhamakkā kar chukā ārāsta jab taaq duur
sahn se ziine pe dauḌā aur pahuñchā baam par
oḌh kar kamlī savād-e-shām niklā sharq se
jūñhī rū-kārāoñ pe chhāyā thoḌe thoḌe farq se
shaam kā gesū khulī āñkhoñ pe jaadū kar gayā
bujh ga.ī sham-e-shafaq nazroñ meñ kohrā bhar gayā
tuur kā jalva charāġhoñ meñ simaT kar rah gayā
aañkh malnā thī ki nazzāra palaT kar rah gayā
raushnī meñ sāriyoñ ke rañg lahrāne lage
muḳhtalif āñchal havā ke ruḳh pe bal khāne lage
ye dīvālī ke manāzir ye nigāheñ kāmyāb
yā ilāhī tā qayāmat bar na aayad āftāb
ho rahe hain raat ke diyon ke har su ehtimam
subh se jalwa-numa hai aaj diwali ki sham
ho chuki ghar ghar sapedi dhul rahi hain naliyan
phirti hain kuchon mein miTTi ke khilaune waliyan
bholi-bhaali bachchiyan chanDol papa kar magan
apni guDiyon ke gharondon mein saji hai anjuman
rasm ki in hikmaton ko kaun kah dega fuzul
rakh diye hain Thikron mein KHana-dari ke usul
jit mein har shaKHs wo nau-KHez ho ya puKHta-kar
haar se inkar lab-ha-e-masarrat par nisar
sard mausam ka laDakpan garm chulhon par shabab
barf mein saqi laga laya hai mina-e-sharab
abKHare ban kar kaDhai par hawa lahki hui
har gali pakwan ki bu-bas se mahki hui
ghi tuDa kar pas walon ki KHabar leta hua
char se shaalon par Tapak jaane se bu deta hua
adh-jale indhan ka aankhon mein dhuan bharta hua
nargis-e-shahla mein simab-e-KHizan bharta hua
nek-dil patni ka hissa hai musibat jhelna
puriyan talne ka pas-manzar hai papaD belna
halwa-e-be-dudh ki thaalon ka bahr-e-be-karan
kashtiyan bahti hain ya aa ja rahi hain mohriyan
salimon ke sath hain TuTe khilaune khand ke
mor ka sar sher ka dhaD panw ghaeb sanD ke
sahn mein khelen batashe abr se barse hue
bartanon ke pas pattal raat ke parse hue
kho gai hain kaam ke andar kunwari laDkiyan
sath wo ham-joliyan bhi aai hain jo mehman
ek nazuk ungliyon se dewte dhoti hui
dusri dhoe huon ko chun ke KHush hoti hui
aur gaDwa tisri aafat ki par-kala liye
battiyan baTti hai chauthi rui ka gala liye
panchwen har su diye tartib se dharti chali
aur chhaTi batti saja kar tel se bharti chali
ye jhamakka kar chuka aarasta jab taq dur
sahn se zine pe dauDa aur pahuncha baam par
oDh kar kamli sawad-e-sham nikla sharq se
junhi ru-karaon pe chhaya thoDe thoDe farq se
sham ka gesu khuli aankhon pe jadu kar gaya
bujh gai sham-e-shafaq nazron mein kohra bhar gaya
tur ka jalwa charaghon mein simaT kar rah gaya
aankh malna thi ki nazzara palaT kar rah gaya
raushni mein sariyon ke rang lahrane lage
muKHtalif aanchal hawa ke ruKH pe bal khane lage
ye diwali ke manazir ye nigahen kaamyab
ya ilahi ta qayamat bar na aayad aaftab
- Book : Kulliyat-e-Shad Aarfi (Pg. 241)
- Author : Muzaffar Hanfi
- Publication : National Academy Delhi (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.