diwana
yaad hogā tujhe raat kī baat hai
koī dīvāna āvāra-e-kūcha-e-dil-barāñ
aa gayā thā tirī bazm meñ raat ko
rāhat-e-dil samajhte hue apnī mahfil samajhte hue
chand farzāne us bazm meñ vāris-e-bazm the
anjuman meñ tirī sochtā rah gayā
kaisī mahfil hai ye
bazm se duur rah kar bhī nazdīk thā
ajnabī kī tarah
ajnabī ajnabī hī rahā
raat kaTtī rahī
sham.a kī tarah shab bhar pighaltā rahā
apne hī dil ke sho.aloñ meñ jaltā rahā
āḳhir-e-shab
dāman-e-dil jo bhīgā to palkeñ bujhīñ
koī monis nahīñ
koī āñchal nahīñ koī dāman nahīñ
daf.atan
ek siskī sī gūñjī fazā meñ magar
chal rahī thī nasīm-e-sahar
dard-e-dil
aur baḌhtā gayā aur baḌhtā gayā
raat kī sham.a bhī gul huī
sub.h-dam chand farzāne paas aa ga.e
qahqahe guuñj uThe dūr-o-nazdīk se
ek ne muskurā kar kahā
ye to dīvāna thā mar gayā
ek parvāna kal raat ko bhīgtī raat meñ jal gayā
ek dīvāna kal raat ko
yaad hoga tujhe raat ki baat hai
koi diwana aawara-e-kucha-e-dil-baran
aa gaya tha teri bazm mein raat ko
rahat-e-dil samajhte hue apni mahfil samajhte hue
chand farzane us bazm mein waris-e-bazm the
anjuman mein teri sochta rah gaya
kaisi mahfil hai ye
bazm se dur rah kar bhi nazdik tha
ajnabi ki tarah
ajnabi ajnabi hi raha
raat kaTti rahi
shama ki tarah shab bhar pighalta raha
apne hi dil ke shoalon mein jalta raha
aaKHir-e-shab
daman-e-dil jo bhiga to palken bujhin
koi monis nahin
koi aanchal nahin koi daman nahin
dafatan
ek siski si gunji faza mein magar
chal rahi thi nasim-e-sahar
dard-e-dil
aur baDhta gaya aur baDhta gaya
raat ki shama bhi gul hui
subh-dam chand farzane pas aa gae
qahqahe gunj uThe dur-o-nazdik se
ek ne muskura kar kaha
ye to diwana tha mar gaya
ek parwana kal raat ko bhigti raat mein jal gaya
ek diwana kal raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.