diwana
koī dīvāna agar raat ga.e rotā hai
us kī āvāz bahut duur sunā.ī degī
chāhe logoñ ko sarokār na ho
bebasī chhā.ī ho ḳhāmoshī ho
har taraf ek farāmoshī ho
phir bhī be-zār na ho
koī dīvāna agar raat ga.e rotā hai
us kī āvāz bahut duur sunā.ī degī
koī samjhā.e vo kyuuñ rotā hai
shāyad un ḳhvāboñ kī ḳhātir jo na puure hoñge
yā ba-dastūr adhūre hoñge
kholtā hai kabhī tanhā.ī ke bhārī parde
rauzan-e-dar se sitāroñ ko chamaktā dekhe
bāġh-e-nau-ḳhāsta har samt mahaktā dekhe
aur banjar paḌe armānoñ ko sairāb kare
dekho ik buuñd girī Thahre hue paanī meñ
dā.era ban ga.ī baḌhtī hī ga.ī
karb-e-tūfān-e-nihāñ mauj ke dil se pūchho
phailte phailte sāhil se jo mil jā.egī
koī dīvāna agar raat ga.e rotā hai
us kī āvāz bahut duur sunā.ī degī
koi diwana agar raat gae rota hai
us ki aawaz bahut dur sunai degi
chahe logon ko sarokar na ho
bebasi chhai ho KHamoshi ho
har taraf ek faramoshi ho
phir bhi be-zar na ho
koi diwana agar raat gae rota hai
us ki aawaz bahut dur sunai degi
koi samjhae wo kyun rota hai
shayad un KHwabon ki KHatir jo na pure honge
ya ba-dastur adhure honge
kholta hai kabhi tanhai ke bhaari parde
rauzan-e-dar se sitaron ko chamakta dekhe
bagh-e-nau-KHasta har samt mahakta dekhe
aur banjar paDe armanon ko sairab kare
dekho ek bund giri Thahre hue pani mein
daera ban gai baDhti hi gai
karb-e-tufan-e-nihan mauj ke dil se puchho
phailte phailte sahil se jo mil jaegi
koi diwana agar raat gae rota hai
us ki aawaz bahut dur sunai degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.