diwane dil
Interesting Fact
(Funun, Lahore, December 1973)
dīvāne dil
kis soch meñ hai dīvāne dil
kin ummīdoñ par jiitā hai
har raat añdhere laatī hai
har raat añdhere lā.egī
aur umr basar ho jā.egī
ummīdoñ ke in mauj mauj dariyāoñ meñ
dariyāoñ kī gahrā.ī meñ
kyā tere liye hai ek aziyyat jiine kī
kyā hāsil hai in mauj mauj dariyāoñ ko dekhte rahne kā
aur pyāse aur dīvāne dil
har aane vaalī sub.h ke chehre par jo patta girtā hai
is bhare jahān meñ tanhā rah jaate
lamhoñ ke samundar meñ bah jaane kī ik amar haqīqat chhoḌtā hai
uḌ jaatā hai
in umDe hue ḳhayāloñ ke tūfānoñ meñ
jo chiiz mujhe jiine kī tāqat detī hai
ik āhista āhista sī āvāz tujhe bas jiinā hai
mar jaane se kuchh din pahle tak jiinā hai
dīvāne dil
diwane dil
kis soch mein hai diwane dil
kin ummidon par jita hai
har raat andhere lati hai
har raat andhere laegi
aur umr basar ho jaegi
ummidon ke in mauj mauj dariyaon mein
dariyaon ki gahrai mein
kya tere liye hai ek aziyyat jine ki
kya hasil hai in mauj mauj dariyaon ko dekhte rahne ka
aur pyase aur diwane dil
har aane wali subh ke chehre par jo patta girta hai
is bhare jahan mein tanha rah jate
lamhon ke samundar mein bah jaane ki ek amar haqiqat chhoDta hai
uD jata hai
in umDe hue KHayalon ke tufanon mein
jo chiz mujhe jine ki taqat deti hai
ek aahista aahista si aawaz tujhe bas jina hai
mar jaane se kuchh din pahle tak jina hai
diwane dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.