diwane ki jannat
merā ye ḳhvāb ki tum mere qarīb aa.ī ho
apne saa.e se jhijaktī huī ghabrātī huī
apne ehsās kī tahrīk pe sharmātī huī
apne qadmoñ kī bhī āvāz se katrātī huī
apnī sāñsoñ ke mahakte hue andāz liye
apnī ḳhāmoshī meñ gahnā.e hue raaz liye
apne hoñToñ pe ik anjām kā āġhāz liye
dil kī dhaḌkan ko bahut roktī samjhātī huī
apnī paa.el kī ġhazal-ḳhvānī pe jhallātī huī
narm shānoñ pe javānī kā nayā baar liye
shoḳh āñkhoñ meñ hijābāt se inkār liye
tez nabzoñ meñ mulāqāt ke āsār liye
kaale bāloñ se bikhartī huī champā kī mahak
surḳh aariz pe damakte hue shāloñ kī chamak
nīchī nazroñ meñ samā.ī huī ḳhuddār jhijak
nuqra.ī jism pe vo chāñd kī kirnoñ kī phuvār
chāñdnī raat meñ bujhtā huā palkoñ kā sitār
fart-e-jazbāt se mahkī huī sāñsoñ kī qatār
duur maazī kī bad-anjām rivāyāt liye
nīchī nazreñ vahī ehsās-e-mulāqāt liye
vahī māhaul vahī tāroñ bharī raat liye
aaj tum aa.ī ho dohrātī huī maazī ko
merā ye ḳhvāb ki tum mere qarīb aa.ī ho
kaash ik ḳhvāb rahe talḳh haqīqat na bane
ye mulāqāt bhī dīvāne kī jannat na bane
mera ye KHwab ki tum mere qarib aai ho
apne sae se jhijakti hui ghabraati hui
apne ehsas ki tahrik pe sharmati hui
apne qadmon ki bhi aawaz se katraati hui
apni sanson ke mahakte hue andaz liye
apni KHamoshi mein gahnae hue raaz liye
apne honTon pe ek anjam ka aaghaz liye
dil ki dhaDkan ko bahut rokti samjhati hui
apni pael ki ghazal-KHwani pe jhallati hui
narm shanon pe jawani ka naya bar liye
shoKH aankhon mein hijabaat se inkar liye
tez nabzon mein mulaqat ke aasar liye
kale baalon se bikharti hui champa ki mahak
surKH aariz pe damakte hue shaalon ki chamak
nichi nazron mein samai hui KHuddar jhijak
nuqrai jism pe wo chand ki kirnon ki phuwar
chandni raat mein bujhta hua palkon ka sitar
fart-e-jazbaat se mahki hui sanson ki qatar
dur mazi ki bad-anjam riwayat liye
nichi nazren wahi ehsas-e-mulaqat liye
wahi mahaul wahi taron bhari raat liye
aaj tum aai ho dohraati hui mazi ko
mera ye KHwab ki tum mere qarib aai ho
kash ek KHwab rahe talKH haqiqat na bane
ye mulaqat bhi diwane ki jannat na bane
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 80)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.