diwangi
bahut kuchh chāhtā thā maiñ
hamesha chāhtā thā maiñ
ki duniyā ḳhūbsūrat ho
ki jaisī
pyaar karte vaqt hotī hai
chāhtā thā
shaam hote hī utar aa.e
falak se chāñd bachchoñ kī hathelī meñ
ki shab
tārīk ho jitnī magar
nam ho khanak ho
aur pūrab kī havā.eñ
subuk raftār guzreñ
chhatoñ par os ho
aur āñganoñ meñ kahkashāñ utre
hamesha chāhtā thā maiñ
ki aañsū hī nahīñ hoñ
aur agar hoñ to
vafūr-e-sar-kashī ke
zabāñ meñ koī luknat
aur hoñToñ meñ
koī larzish na ho hargiz
agar ho to
mohabbat kī tapish meñ
ḳhudāoñ kī tarah qādir
hamāre baap būḌhe hī na hoñ
aur apsarāoñ aur pariyoñ sī
hasīñ mahbūb maa.eñ
apne bachchoñ ko na ro.eñ
kisī bachche kī āñkhoñ meñ
kabhī vahshat na dar aa.e
koī duniyā se nā-mahram na guzre
javāñ hone se pahle saare bachche
bhaag jaa.eñ apne ghar se
aur duniyā.eñ basā.eñ
yā koī bachcha
kisī ghar se na bhāge
hamāre gaañv kī alhaḌ hasīna kī javānī
itnī jaldī to na guzre
bahut din bahut din aur
Thahre
aur jashn kī shab
jab bisāt-e-raqs qaa.em ho
raushnī bardār chehre bhī
munavvar hoñ
chāhtā thā ki jinheñ hone kā koī haq nahīñ thā
aise saare lafz bāhar hoñ
zabānoñ se hamārī
aur duniyā bhar ke saare log
shā.ir hoñ
hamesha chāhtā thā
baḌī ma.amūlī chīzeñ chāhtā thā maiñ
ki jaise chāhtā thā
saath ek laḌkī kā
sard yaḳh-basta havāoñ meñ
sharāre bharne vaalī
ek laḌkī
yā koī martūb mausam
yā ki shabnam meñ nahā.ī
sīḌhiyoñ se chāñd tak bhīgī huī ik raat
shab-e-sehrā
mulā.em garam-joshī se banī duniyā
halāvat aur hiddat se banī duniyā
sīna-e-shā.ir meñ ik maġhrūr parcham
ek laḌkī
ek duniyā
bahut ma.amūlī chīzeñ chāhtā thā maiñ
ki jaise chāhtā thā
zindagī meñ koī mausīqī koī naġhma
āshnā.ī dard ke mizrāb se
sard zindagī kā koī
barjasta tarāna
ek kamra aur bistar
ek rajā.ī
mez aur kursī
kitābeñ aur davā.eñ
dostoñ ke ḳhat
ek khiḌkī aur thoḌī chhat
thoḌī mastī aur be-ḳhaufī
maiñ ye bhī chāhtā thā
aur vo bhī chāhtā thā
maiñ sab kuchh chāhtā thā
bahut ma.amūlī chīzeñ chāhtā thā maiñ
bahut ma.amūlī chīzoñ par Tikī thī zindagī merī
mujhe afsos hai is kā
merī āñkhoñ ne dekhā thā
jahāñ ko
āriz-e-mahbūb kī sūrat
hamāre zehn meñ
har ḳhvāb kī tafsīl thī
har husn kā imkān thā
āsmāñ kuchh bhī nahīñ
ek khel kā maidān thā
bachchoñ kī ḳhātir
aur samundar mahz ek kāñch kī chādar
jise likhne kī ḳhātir
mez par rakhā gayā thā
vāqi.a to ye hai ki
duniyā
mire kamre se ziyāda
kuchh nahīñ thī
mujhe mālūm thā
ki phuul kis goshe meñ hoñge
qalam hogā kahāñ par
kis jagah kheleñge bachche
aur ḳhanjar
kis jagah hogā
bahut kuchh chahta tha main
hamesha chahta tha main
ki duniya KHubsurat ho
ki jaisi
pyar karte waqt hoti hai
chahta tha
sham hote hi utar aae
falak se chand bachchon ki hatheli mein
ki shab
tarik ho jitni magar
nam ho khanak ho
aur purab ki hawaen
subuk raftar guzren
chhaton par os ho
aur aanganon mein kahkashan utre
hamesha chahta tha main
ki aansu hi nahin hon
aur agar hon to
wafur-e-sar-kashi ke
zaban mein koi luknat
aur honTon mein
koi larzish na ho hargiz
agar ho to
mohabbat ki tapish mein
KHudaon ki tarah qadir
hamare bap buDhe hi na hon
aur apsaraon aur pariyon si
hasin mahbub maen
apne bachchon ko na roen
kisi bachche ki aankhon mein
kabhi wahshat na dar aae
koi duniya se na-mahram na guzre
jawan hone se pahle sare bachche
bhag jaen apne ghar se
aur duniyaen basaen
ya koi bachcha
kisi ghar se na bhage
hamare ganw ki alhaD hasina ki jawani
itni jaldi to na guzre
bahut din bahut din aur
Thahre
aur jashn ki shab
jab bisat-e-raqs qaem ho
raushni bardar chehre bhi
munawwar hon
chahta tha ki jinhen hone ka koi haq nahin tha
aise sare lafz bahar hon
zabanon se hamari
aur duniya bhar ke sare log
shair hon
hamesha chahta tha
baDi mamuli chizen chahta tha main
ki jaise chahta tha
sath ek laDki ka
sard yaKH-basta hawaon mein
sharare bharne wali
ek laDki
ya koi martub mausam
ya ki shabnam mein nahai
siDhiyon se chand tak bhigi hui ek raat
shab-e-sehra
mulaem garam-joshi se bani duniya
halawat aur hiddat se bani duniya
sina-e-shair mein ek maghrur parcham
ek laDki
ek duniya
bahut mamuli chizen chahta tha main
ki jaise chahta tha
zindagi mein koi mausiqi koi naghma
aashnai dard ke mizrab se
sard zindagi ka koi
barjasta tarana
ek kamra aur bistar
ek rajai
mez aur kursi
kitaben aur dawaen
doston ke KHat
ek khiDki aur thoDi chhat
thoDi masti aur be-KHaufi
main ye bhi chahta tha
aur wo bhi chahta tha
main sab kuchh chahta tha
bahut mamuli chizen chahta tha main
bahut mamuli chizon par Tiki thi zindagi meri
mujhe afsos hai is ka
meri aankhon ne dekha tha
jahan ko
aariz-e-mahbub ki surat
hamare zehn mein
har KHwab ki tafsil thi
har husn ka imkan tha
aasman kuchh bhi nahin
ek khel ka maidan tha
bachchon ki KHatir
aur samundar mahz ek kanch ki chadar
jise likhne ki KHatir
mez par rakha gaya tha
waqia to ye hai ki
duniya
mere kamre se ziyaada
kuchh nahin thi
mujhe malum tha
ki phul kis goshe mein honge
qalam hoga kahan par
kis jagah khelenge bachche
aur KHanjar
kis jagah hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.