diwanon ka nam abad tak hota hai
sunā hai us ne paḌhte paḌhte
āñkhoñ ko hairān kiyā hai
pusht se lipTe ā.īnoñ ke
zañgāroñ kā dhyān kiyā hai
sadiyoñ par phailī, an-dekhī
raushniyoñ kā gyaan kiyā hai
pal-do-pal vishrām kiyā thā
sunā hai us ne likhte likhte
daftar meñ apne jīvan ke
din kaaTe to
rātoñ kā vardān diyā hai
gahrī fikr ke moTe moTe
shīshe pahan kar
lafzoñ meñ na.e ma.anī aur mafhūm samo kar
aur gumān ke darvāzoñ par
na.e taur se dastak de kar
fikr kī ūñchā.ī se guzar kar
baḌe baḌe in.aam haiñ paa.e
duniyā ke sammān uThā.e
lekin ab to
apne art ke tāj-mahal meñ
ik tasvīr sā laTkā huā hai
suna hai us ne paDhte paDhte
aankhon ko hairan kiya hai
pusht se lipTe aainon ke
zangaron ka dhyan kiya hai
sadiyon par phaili, an-dekhi
raushniyon ka gyan kiya hai
pal-do-pal wishram kiya tha
suna hai us ne likhte likhte
daftar mein apne jiwan ke
din kaTe to
raaton ka wardan diya hai
gahri fikr ke moTe moTe
shishe pahan kar
lafzon mein nae mani aur mafhum samo kar
aur guman ke darwazon par
nae taur se dastak de kar
fikr ki unchai se guzar kar
baDe baDe inam hain pae
duniya ke samman uThae
lekin ab to
apne art ke taj-mahal mein
ek taswir sa laTka hua hai
- Book : Zamin Lapata Rahi (Pg. 35)
- Author : Hanif Tareen
- Publication : Libarty Art Press, Pataudi House, Darya Ganj, (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.