diwar-e-girya
ek dīvār jo haa.el hai mirī sochoñ meñ
kitne pechīda savāloñ se mujhe roktī hai
jab bhī maiñ raḳht-e-safar bāñdhtī huuñ shāne par
apnī jādū-bharī hastī se mujhe Toktī hai
ye jo dīvār ki rahtī hai siyah ḳhānoñ meñ
din Dhale apne tilismāt ko dikhlātī hai
mujh ko mahsūr kiye rakhtī hai añgāroñ meñ
chaar jānib ruḳh-r-anvār se bahlātī hai
aisā lagtā hai ki tāroñ se damaktī huī raat
ik zarā jumbish-e-mizhgāñ se bhī bujh jā.egī
merī sochoñ ke tasalsul ko ye biphrī nāgin
ek hī aan meñ afsos nigal jā.egī
sub.h hote hī ye dīvār-e-siyah ḳhānoñ meñ
ret ke Dher kī mānind utar jā.egī
raat kī jādūgarī ḳhvāb sī ban jā.egī
sham.a-dānoñ meñ faqat raakh hī rah jā.egī
ik nayā din mirī vīrān guzargāhoñ par
le ke kashkol mire saath utar aa.egā
mere dāman se lipaT kar ye samay kā relā
mujh ko mujh se hī judā karne pe uksā.egā
''ek dīvār jo haa.el hai marī sochoñ meñ''
ek diwar jo hael hai meri sochon mein
kitne pechida sawalon se mujhe rokti hai
jab bhi main raKHt-e-safar bandhti hun shane par
apni jadu-bhari hasti se mujhe Tokti hai
ye jo diwar ki rahti hai siyah KHanon mein
din Dhale apne tilismat ko dikhlati hai
mujh ko mahsur kiye rakhti hai angaron mein
chaar jaanib ruKH-r-anwar se bahlati hai
aisa lagta hai ki taron se damakti hui raat
ek zara jumbish-e-mizhgan se bhi bujh jaegi
meri sochon ke tasalsul ko ye biphri nagin
ek hi aan mein afsos nigal jaegi
subh hote hi ye diwar-e-siyah KHanon mein
ret ke Dher ki manind utar jaegi
raat ki jadugari KHwab si ban jaegi
shama-danon mein faqat rakh hi rah jaegi
ek naya din meri viran guzargahon par
le ke kashkol mere sath utar aaega
mere daman se lipaT kar ye samay ka rela
mujh ko mujh se hi juda karne pe uksaega
ek diwar jo hael hai mari sochon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.