diwar-e-girya
ajab jaadū bharī āñkheñ thiiñ us kī
vo jab palkeñ uThā kar ik nazar taktī to āñkhoñ kī
siyah jhīloñ meñ
jaise machhliyoñ ko aag lag jaatī
hazāroñ surḳh Dore tilmilā kar jast bharte
āb-e-ġham kī qaid se bāhar nikalne ke liye
sau sau jatan karte
magar majbūr the
chāroñ taraf aañsū ke gumbad the
namī ke bulbule the
aur ik dīvār-e-girya
jo azal se tā-abad phailī huī thī
ajab jaadū bharī āñkheñ thiiñ us kī
ba-zāhir aane vaale ko na aane ke liye kahtī
ba-bātin chāhtī dīvār ko vo toḌ kar us tak pahuñch jaa.eñ
khaḌā huuñ maiñ pas-e-dīvār-e-girya
namī ke bulbuloñ ko is kī palkoñ par larazte jhilmilāte
dekhtā huuñ uñgliyoñ se chhū bhī saktā huuñ
magar dīvār-e-girya ko
ufuq se tā ufuq phailī huī
shīshe kī is shaffāf chādar ko kabhī ab tak to koī toḌ kar aage nahīñ aayā
maiñ ik aañsū bhare lamhe kī silvaT
maiñ kaise paar kar saktā huuñ is ko
ajab jadu bhari aankhen thin us ki
wo jab palken uTha kar ek nazar takti to aankhon ki
siyah jhilon mein
jaise machhliyon ko aag lag jati
hazaron surKH Dore tilmila kar jast bharte
aab-e-gham ki qaid se bahar nikalne ke liye
sau sau jatan karte
magar majbur the
chaaron taraf aansu ke gumbad the
nami ke bulbule the
aur ek diwar-e-girya
jo azal se ta-abad phaili hui thi
ajab jadu bhari aankhen thin us ki
ba-zahir aane wale ko na aane ke liye kahti
ba-baatin chahti diwar ko wo toD kar us tak pahunch jaen
khaDa hun main pas-e-diwar-e-girya
nami ke bulbulon ko is ki palkon par larazte jhilmilate
dekhta hun ungliyon se chhu bhi sakta hun
magar diwar-e-girya ko
ufuq se ta ufuq phaili hui
shishe ki is shaffaf chadar ko kabhi ab tak to koi toD kar aage nahin aaya
main ek aansu bhare lamhe ki silwaT
main kaise par kar sakta hun is ko
- Book : Pakistani Adab (Pg. 248)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.