diwar
kārvāñ baḌhtā rahā baḌhtā rahā
pai-ba-pai jāda-ba-jāda apnī manzil kī taraf
saf-ba-saf shāna-ba-shāna rahravoñ ko le chalā
jehd-e-paiham kā har ik iqdām hāsil kī taraf
phir na jaane kyā huā kaisī chalī ulTī havā
daf.atan qadmoñ ke naġhme sard se hone lage
thak gayā azm-e-safar ummīd kā dam ghuT gayā
shauq ke sargarm jazbe raah meñ khone lage
kārvāñ vaalo dilā.e tum ko kaun is kā yaqīñ
jis kī ḳhvāhish meñ baḌhe ho tum vo manzil hai qarīñ
karwan baDhta raha baDhta raha
pai-ba-pai jada-ba-jada apni manzil ki taraf
saf-ba-saf shana-ba-shana rahrawon ko le chala
jehd-e-paiham ka har ek iqdam hasil ki taraf
phir na jaane kya hua kaisi chali ulTi hawa
dafatan qadmon ke naghme sard se hone lage
thak gaya azm-e-safar ummid ka dam ghuT gaya
shauq ke sargarm jazbe rah mein khone lage
karwan walo dilae tum ko kaun is ka yaqin
jis ki KHwahish mein baDhe ho tum wo manzil hai qarin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.