diwar ki tin chizen
ye sāmne dīvār par jo ko.ele se 786 likhā hai
aur jo zinda ābād hai
aur fāḳhta kī choñch meñ zaitūn kī jo shāḳh hai
ye tiin chīzeñ vo haiñ
javān ḳhūbsūrat bachchiyoñ ne
apne abbū ke liye taḳhlīq kī haiñ
taaki abbū charḳh par jhūle
to ik allāh ko
aur apne zindabād ko
aur apnī chhoTī sī haqīqat ko
na bhūle
jhūlte
hī jhūlte
bas paar utar jaa.e
ye samne diwar par jo koele se 786 likha hai
aur jo zinda aabaad hai
aur faKHta ki chonch mein zaitun ki jo shaKH hai
ye tin chizen wo hain
jawan KHubsurat bachchiyon ne
apne abbu ke liye taKHliq ki hain
taki abbu charKH par jhule
to ek allah ko
aur apne zindabaad ko
aur apni chhoTi si haqiqat ko
na bhule
jhulte
hi jhulte
bas par utar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.