diwar
maiñ ik devtā-e-anā
nargisiyyat kā maarā huā
aur azal se takabbur meñ Duubā huā
kaafī ḳhud-sar huuñ
ziddī huuñ maġhrūr huuñ
mere chāroñ taraf merī andhī anā kī vo dīvār hai
jis meñ aane kī aur mujh se milne kī ghulne kī koī ijāzat kisī ko nahīñ hai
tumheñ bhī nahīñ hai
use bhī nahīñ hai
mujhe bhī nahīñ hai
maiñ apnī anā kī dīvāroñ meñ tum se alag ho rahūñ
mujh pe sajtā bhī hai ye
maiñ shā.ir huuñ jo ki faūlun faūlun se bahr-e-ramal tak
har ik naġhmagī kā mukammal ḳhudā huuñ
maiñ lafzoñ kā aaqā
taḳhayyul kā ḳhāliq
maiñ saare zamāne se yaksar judā huuñ
mujhe zeb detā hai maiñ apnī dīvār meñ is tarah se muqayyad rahūñ
yūñhī sayyad rahūñ
mujh pe sajtā hai ye
.
par jo kal shab tire shabnamī se tabassum meñ lipTī huī
ik nazar be-niyāzī se mujh par paḌī
terī pahlī nazar se mirī jān-e-jāñ
merī dīvār meñ ik gaḌhā par paḌ gayā
aur ye hī nahīñ mujh pe vo hī nazar
jab dobāra dobāra dobāra paḌī
merī dīvār meñ zalzale aa ga.e
aur raḳhne shagāfoñ meñ Dhalne lage
mere andar talātum vo ātish-fishāñ
vo bagūle vo tūfāñ vo mahshar bapā thā
ki maiñ vo ki jis ke tahammul kī hikmat kī
fahm-o-latāfat kī tamsīl shāyad kahīñ bhī nahīñ thī
sulagne lagā
apnī hiddat se ḳhud hī pighalne lagā
tujh se kahnā thā ye ki mirī jān-e-jāñ
har sitāre kī apnī kashish hogī lekin
ḳhalāoñ meñ murda sitāroñ kī qismat
vo hawking kī theory ke kaale gaḌhe
vo vahī vo ki jin meñ hai itnī kashish ki makāñ to makāñ
vo zamāñ ko bhī apne lapeTe meñ le leñ
vo hawking kī theory ke kaale gaḌhoñ kī gravity bhī
terī añkhoñ kī gahrī kashish ke muqābil meñ kuchh bhī nahīñ
aur ye to faqat ek dīvār thī
is ko girnā hī thā
terī nazroñ se haarī hai bikhrī paḌī hai
ki dīvār kā reza-reza tirī ik nazar se mirī jaan
ujḌā paḌā hai
maiñ jo devtā-e-anā nargisiyyat kā maarā huā vo jo ḳhud-sar thā
ziddī thā maġhrūr thā
jo faūlun faūlun se bahr-e-ramal tak har ik naġhmagī kā mukammal ḳhudā thā
tirī ik nazar se anāoñ ke arsh-e-mua.allā se sīdhā tire paañv meñ aa ke
bikhrā paḌā hai
main ek dewta-e-ana
nargisiyyat ka mara hua
aur azal se takabbur mein Duba hua
kafi KHud-sar hun
ziddi hun maghrur hun
mere chaaron taraf meri andhi ana ki wo diwar hai
jis mein aane ki aur mujh se milne ki ghulne ki koi ijazat kisi ko nahin hai
tumhein bhi nahin hai
use bhi nahin hai
mujhe bhi nahin hai
main apni ana ki diwaron mein tum se alag ho rahun
mujh pe sajta bhi hai ye
main shair hun jo ki faulun faulun se bahr-e-ramal tak
har ek naghmagi ka mukammal KHuda hun
main lafzon ka aaqa
taKHayyul ka KHaliq
main sare zamane se yaksar juda hun
mujhe zeb deta hai main apni diwar mein is tarah se muqayyad rahun
yunhi sayyad rahun
mujh pe sajta hai ye
par jo kal shab tere shabnami se tabassum mein lipTi hui
ek nazar be-niyazi se mujh par paDi
teri pahli nazar se meri jaan-e-jaan
meri diwar mein ek gaDha par paD gaya
aur ye hi nahin mujh pe wo hi nazar
jab dobara dobara dobara paDi
meri diwar mein zalzale aa gae
aur raKHne shagafon mein Dhalne lage
mere andar talatum wo aatish-fishan
wo bagule wo tufan wo mahshar bapa tha
ki main wo ki jis ke tahammul ki hikmat ki
fahm-o-latafat ki tamsil shayad kahin bhi nahin thi
sulagne laga
apni hiddat se KHud hi pighalne laga
tujh se kahna tha ye ki meri jaan-e-jaan
har sitare ki apni kashish hogi lekin
KHalaon mein murda sitaron ki qismat
wo hawking ki theory ke kale gaDhe
wo wahi wo ki jin mein hai itni kashish ki makan to makan
wo zaman ko bhi apne lapeTe mein le len
wo hawking ki theory ke kale gaDhon ki grawity bhi
teri ankhon ki gahri kashish ke muqabil mein kuchh bhi nahin
aur ye to faqat ek diwar thi
is ko girna hi tha
teri nazron se haari hai bikhri paDi hai
ki diwar ka reza-reza teri ek nazar se meri jaan
ujDa paDa hai
main jo dewta-e-ana nargisiyyat ka mara hua wo jo KHud-sar tha
ziddi tha maghrur tha
jo faulun faulun se bahr-e-ramal tak har ek naghmagi ka mukammal KHuda tha
teri ek nazar se anaon ke arsh-e-mualla se sidha tere panw mein aa ke
bikhra paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.