diwar
sūraj ko sar par uThā.e uThā.e
aaj maiñ ek dīvār ke saath saath
ka.ī miil chalā
apne bichhḌe hue dostoñ ko DhūñDhtā huā
ye bahut der meñ khulā
ki maiñ dīvār ke is taraf huuñ
aur vo us taraf
maiñ pūchhnā chāhtā huuñ kisī se
ki ye containers kī dīvār hai
yā nafrat kī
suraj ko sar par uThae uThae
aaj main ek diwar ke sath sath
kai mil chala
apne bichhDe hue doston ko DhunDhta hua
ye bahut der mein khula
ki main diwar ke is taraf hun
aur wo us taraf
main puchhna chahta hun kisi se
ki ye containers ki diwar hai
ya nafrat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.