diwaren pichhe ja sakti hain
lagtā hai ye koī ḳhvāb hai
ek gumbad-numā band kamra hai
jis kī dīvāreñ dhīre dhīre sikuḌ rahī haiñ
mere qarīb aa rahī haiñ
dīvāreñ be-qarār lagtī haiñ
merā dam ghoñTne yā mujhe piis Dālne ke liye
ek āvāz aatī hai
ye duniyā hai
merī aañkh khul jaatī hai
magar band kamre kī dīvāreñ abhī tak sikuḌ rahī haiñ
āvāz aatī hai
dīvāreñ phail kar pīchhe jā saktī haiñ
kuchh der ke liye
agar is dahshat ke aalam meñ
tum lagā sako ek qahqaha
yā likh sako ek nazm
lagta hai ye koi KHwab hai
ek gumbad-numa band kamra hai
jis ki diwaren dhire dhire sikuD rahi hain
mere qarib aa rahi hain
diwaren be-qarar lagti hain
mera dam ghonTne ya mujhe pis Dalne ke liye
ek aawaz aati hai
ye duniya hai
meri aankh khul jati hai
magar band kamre ki diwaren abhi tak sikuD rahi hain
aawaz aati hai
diwaren phail kar pichhe ja sakti hain
kuchh der ke liye
agar is dahshat ke aalam mein
tum laga sako ek qahqaha
ya likh sako ek nazm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.