diwaren
Duube hue gulāb meñ vo jism ke ḳhutūt
jab yaad aa.e haiñ
ā.ankhoñ meñ kitne rañg-mahal jagmagā.e haiñ
jab yaad aa.e haiñ
vo jism ke ḳhutūt
vo jism ke ḳhutūt kī ik dil-nashīñ pukār
chāhat kī raah meñ
ham ne sunī thī jo kabhī pahlī nigāh meñ
chāhat kī raah meñ
ik dil-nashīñ pukār
is dil-nashīñ pukār kā anjām-e-dil-gudāz
kaise bhulā.eñ ham
dete raheñge dair-o-haram ko duā.eñ ham
kaise bhulā.eñ ham
anjām-e-dil-gudāz
Dube hue gulab mein wo jism ke KHutut
jab yaad aae hain
aaankhon mein kitne rang-mahal jagmagae hain
jab yaad aae hain
wo jism ke KHutut
wo jism ke KHutut ki ek dil-nashin pukar
chahat ki rah mein
hum ne suni thi jo kabhi pahli nigah mein
chahat ki rah mein
ek dil-nashin pukar
is dil-nashin pukar ka anjam-e-dil-gudaz
kaise bhulaen hum
dete rahenge dair-o-haram ko duaen hum
kaise bhulaen hum
anjam-e-dil-gudaz
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 218)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.