Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwaron ka jangal jis ka aabaadi hai nam

Sahir Ludhianvi

diwaron ka jangal jis ka aabaadi hai nam

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    dīvāroñ jañgal jis ābādī hai naam

    bāhar se chup chup lagtā hai andar se kohrām

    dīvāroñ ke is jañgal meñ bhaTak rahe insān

    apne apne uljhe dāman jhaTak rahe insān

    apnī biitī chhoḌ ke aa.e kaun kisī ke kaam

    bāhar se chup chup lagtā hai andar se kohrām

    siine ḳhālī āñkheñ suunī chehre pe hairānī

    jitne ghane hañgāme us meñ utnī ghanī vīrānī

    rāteñ qātil sub.heñ mujrim mulzim hai har shaam

    bāhar se chup chup lagtā hai andar hai kohrām

    haal na pūchheñ dard na bāñTeñ us jañgal ke log

    apnā apnā sukh hai sab apnā apnā sog

    koī nahīñ jo haath baḌhā kar girtoñ ko le thaam

    bāhar se chup chup lagtā hai andar hai kohrām

    bebas ko doshī Thahrā.e us jañgal nayāy

    sach laash pe koī na ro.e jhuuT ko siis navā.e

    patthar un dīvāroñ meñ patthar ho ga.e raam

    bāhar se chup chup lagtā hai andar hai kohrām

    diwaron ka jangal jis ka aabaadi hai nam

    bahar se chup chup lagta hai andar se kohram

    diwaron ke is jangal mein bhaTak rahe insan

    apne apne uljhe daman jhaTak rahe insan

    apni biti chhoD ke aae kaun kisi ke kaam

    bahar se chup chup lagta hai andar se kohram

    sine KHali aankhen suni chehre pe hairani

    jitne ghane hangame us mein utni ghani virani

    raaten qatil subhen mujrim mulzim hai har sham

    bahar se chup chup lagta hai andar hai kohram

    haal na puchhen dard na banTen us jangal ke log

    apna apna sukh hai sab ka apna apna sog

    koi nahin jo hath baDha kar girton ko le tham

    bahar se chup chup lagta hai andar hai kohram

    bebas ko doshi Thahrae us jangal ka nayay

    sach ki lash pe koi na roe jhuT ko sis nawae

    patthar ki un diwaron mein patthar ho gae ram

    bahar se chup chup lagta hai andar hai kohram

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 452)
    • Author : SAHIR LUDHIANVI
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now