dil-aram
zamāne ke paañv meñ zanjīr Daalo
ki ye chhipkilī kī tarah reñgtā vaqt
umīdoñ ke shah-par ko chhūne lagā hai
ise rok bhī do
ki ye fīl-pā ab hamāre subuk jism ko rauñd degā
hamāre taḳhayyul ke par toḌ degā
ye sail-e-ravāñ aarzū ke gharauñde kī buniyād ko chaaT legā
agar dauḌtā vaqt merī tarah
ek markaz pe kuchh der Thahrā rahe
niiñd ke devtā
aañkh kī putliyoñ ke jharokoñ se jhāñkeñge
aur aa baseñge
diloñ kī ujaḌtī huī bastiyoñ meñ
ye āñkheñ ki jin kā lahū
rat-jage kī lagā.ī huī aag meñ jal rahā hai
unheñ sard hāthoñ ke mahke hue
lams kī justujū hai
inheñ aarzū hai
ki koī dil-rām
ḳhvāboñ ke gajre sajā kar kahe
''ai mire sar-phire
maiñ yahāñ huuñ yahāñ
kis liye tū mujhe
vaqt kī be-amāñ vus.atoñ meñ kahīñ
DhūñDhtā phir rahā hai''
zamane ke panw mein zanjir Dalo
ki ye chhipkili ki tarah rengta waqt
umidon ke shah-par ko chhune laga hai
ise rok bhi do
ki ye fil-pa ab hamare subuk jism ko raund dega
hamare taKHayyul ke par toD dega
ye sail-e-rawan aarzu ke gharaunde ki buniyaad ko chaT lega
agar dauDta waqt meri tarah
ek markaz pe kuchh der Thahra rahe
nind ke dewta
aankh ki putliyon ke jharokon se jhankenge
aur aa basenge
dilon ki ujaDti hui bastiyon mein
ye aankhen ki jin ka lahu
rat-jage ki lagai hui aag mein jal raha hai
unhen sard hathon ke mahke hue
lams ki justuju hai
inhen aarzu hai
ki koi dil-ram
KHwabon ke gajre saja kar kahe
ai mere sar-phire
main yahan hun yahan
kis liye tu mujhe
waqt ki be-aman wusaton mein kahin
DhunDhta phir raha hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 848)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.