dil-awez
terā chehra mire vāste saarī duniyā ke phūloñ se afzal huā
kyā huā jo koī dūsrā
us kī ḳhushbū se mānūs ho kar use le uḌā
phuul ḳhushbū to sab ke liye ek jaise magar
un se mahzūz hote har ik shaḳhs kā
rang bhī muḳhtalif Dhang bhī muḳhtalif
tum hasīñ ho aur apnī nauiyat kī vāhid hasīñ
dil-nashīñ
be-zarar
be-takalluf sī ma.asūm sī baḳht-var
baḳht-var kyā tumheñ ilm hai
mere dil meñ banī ik imārat jise ham ne mil kar banāyā larazne lagī hai
sutūnoñ meñ ḳham aa rahā hai
mujhe is imārat ke bosīda hone kā dukh hai
aur is dukh kī bābat mirī aañkh kī putliyoñ meñ zarūrat se zyāda namī hai
mirī zindagī meñ ḳhudā kā diyā sab hai
bas ik tumhārī kamī hai
jo shāyad hamesha rahegī
tera chehra mere waste sari duniya ke phulon se afzal hua
kya hua jo koi dusra
us ki KHushbu se manus ho kar use le uDa
phul KHushbu to sab ke liye ek jaise magar
un se mahzuz hote har ek shaKHs ka
rang bhi muKHtalif Dhang bhi muKHtalif
tum hasin ho aur apni nauiyat ki wahid hasin
dil-nashin
be-zarar
be-takalluf si masum si baKHt-war
baKHt-war kya tumhein ilm hai
mere dil mein bani ek imarat jise hum ne mil kar banaya larazne lagi hai
sutunon mein KHam aa raha hai
mujhe is imarat ke bosida hone ka dukh hai
aur is dukh ki babat meri aankh ki putliyon mein zarurat se zyaada nami hai
meri zindagi mein KHuda ka diya sab hai
bas ek tumhaari kami hai
jo shayad hamesha rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.