dil bahalta nahin kisi surat
haal apnā sunā ke dekh liyā
aur aañsū bahā ke dekh liyā
kaun suntā hai ham ġharīboñ kī
sab ko to aazmā ke dekh liyā
ek chhuTTī bhī ham ko mil na sakī
nit bahāne banā ke dekh liyā
muñh jo kaḌvā thā vo rahā kaḌvā
ham ne laDDū bhī khā ke dekh liyā
khā rahe haiñ churā ke ham biscuit
aur jo ammī ne aa ke dekh liyā
nannhī detī nahīñ hai khiir apnī
ro ke dekhā rulā ke dekh liyā
dil bahaltā nahīñ kisī sūrat
giit bhī aaj gā ke dekh liyā
haal apna suna ke dekh liya
aur aansu baha ke dekh liya
kaun sunta hai hum gharibon ki
sab ko to aazma ke dekh liya
ek chhuTTi bhi hum ko mil na saki
nit bahane bana ke dekh liya
munh jo kaDwa tha wo raha kaDwa
hum ne laDDu bhi kha ke dekh liya
kha rahe hain chura ke hum biscuit
aur jo ammi ne aa ke dekh liya
nannhi deti nahin hai khir apni
ro ke dekha rula ke dekh liya
dil bahalta nahin kisi surat
git bhi aaj ga ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.