dil-dahi
shaam kī zau
har taraf sāhil pe halkā sā añdherā abr kā
duur ufuq par ik udāsī kā muhīt
Duubī Duubī mahv sī namnāk āñhkeñ
dard-e-furqat se hazīñ royā huā dil
aur samundar
narm lahroñ ke mulā.em haath se
tifl ko de rahā hai haule haule thapkiyāñ
sham ki zau
har taraf sahil pe halka sa andhera abr ka
dur ufuq par ek udasi ka muhit
Dubi Dubi mahw si namnak aanhken
dard-e-furqat se hazin roya hua dil
aur samundar
narm lahron ke mulaem hath se
tifl ko de raha hai haule haule thapkiyan
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.