dil dhaDak raha hai
har lafz jis kā matlab mohabbat ho
mujhe pasand hai
us ke mutazād alfāz mujhe achchhe nahīñ lagte
un se ḳhanjar tayyār kiye jaate haiñ
jin se ḳhūbsūrtiyoñ ko kaaT kar
zindagī kā unvān bad-sūratī likh diyā jaatā hai
maiñ nafrat se bhī nafrat karte Dartā huuñ
hālāñki vo nafī zindagī kā isbāt haiñ
kisī bam blast ke baad
saḌak par bikhre a.azā meñ
ek dil dhaḌak rahā hai
maiñ ā.inda se māyūs nahīñ
is meñ ab bhī vo jazba paidā ho saktā hai
jo insān kī ḳhuun se raġhbat kam kar de
har lafz jis ka matlab mohabbat ho
mujhe pasand hai
us ke mutazad alfaz mujhe achchhe nahin lagte
un se KHanjar tayyar kiye jate hain
jin se KHubsurtiyon ko kaT kar
zindagi ka unwan bad-surati likh diya jata hai
main nafrat se bhi nafrat karte Darta hun
haalanki wo nafi zindagi ka isbaat hain
kisi bam blast ke baad
saDak par bikhre aaza mein
ek dil dhaDak raha hai
main aainda se mayus nahin
is mein ab bhi wo jazba paida ho sakta hai
jo insan ki KHun se raghbat kam kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.