ai dil-e-muztarib
ai mire bevafā
ai mire be-rahm
ab Thahar jā zarā
jān-e-man
baaz aa
baaz aa
chāhe jaane kī ḳhvāhish meñ maarā gayā
in sarāboñ ke pīchhe tū ghāyal huā
mere mizhgāñ pe taare haiñ bikhre hue
kaun dekhe inheñ
haiñ diyā sī in āñkhoñ meñ pal pal jo parvāne machle hue
ye to jal jā.eñge
ḳhaak ho jā.eñge
chāhe jaane kī ḳhvāhish meñ mar jā.eñge
ai dil-e-be-ḳhabar tū na sah pā.egā
tū bhī mar jā.egā
ai mire chārāgar
tū ki ḳhud hī maraz tū ki ḳhud hī shifā
tū masīhā bhī ḳhud tū ki ḳhud hī davā
ai dil-e-be-ḳhabar
chāhe jaane kī sab shiddatoñ ko ghaTā
baaz aa baaz aa
ai dil-e-muztarib
ai mere bewafa
ai mere be-rahm
ab Thahar ja zara
jaan-e-man
baz aa
baz aa
chahe jaane ki KHwahish mein mara gaya
in sarabon ke pichhe tu ghayal hua
mere mizhgan pe tare hain bikhre hue
kaun dekhe inhen
hain diya si in aankhon mein pal pal jo parwane machle hue
ye to jal jaenge
KHak ho jaenge
chahe jaane ki KHwahish mein mar jaenge
ai dil-e-be-KHabar tu na sah paega
tu bhi mar jaega
ai mere chaaragar
tu ki KHud hi maraz tu ki KHud hi shifa
tu masiha bhi KHud tu ki KHud hi dawa
ai dil-e-be-KHabar
chahe jaane ki sab shiddaton ko ghaTa
baz aa baz aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.