Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-nadan

Narayan Das Puri

dil-e-nadan

Narayan Das Puri

MORE BYNarayan Das Puri

    gar āsmāñ ko mahr-e-daraḳhshāñ pe naaz hai

    anjum pe naaz hai mah-e-tābāñ pe naaz hai

    gulshan ko apne sumbul-o-raihāñ pe naaz hai

    aur bāġhbāñ ko apne gulistāñ pe naaz hai

    shāḳhoñ ko andalīb ke naġhmoñ pe naaz hai

    aur andalīb ko gul-e-ḳhandāñ pe naaz hai

    sabza ko apne gauhar-e-larzāñ pe naaz hai

    sahn-e-chaman ko husn-e-ḳhirāmāñ pe naaz hai

    shā.ir ko apne husn-e-liyāqat pe naaz hai

    āshiq ko apne sīna-e-biryāñ pe naaz hai

    ashkoñ ko garche apnī ravānī pe naaz hai

    aahoñ ko apnī ātish-e-sozāñ pe naaz hai

    mansūr-e-pāk-bāz ko dār-o-rasan pe naaz

    majnūñ ko apne chāk-e-garebāñ pe naaz hai

    zauq-e-fanā pe naaz hai garche patang ko

    mahfil ko apnī sham-e-farozāñ pe naaz hai

    isyāñ ko garche rahmat-e-yazdāñ pe naaz hai

    rahmat ko afv-e-kasrat-e-isyāñ pe naaz hai

    apnī balā se gar koī nāzāñ ḳhirad pe ho

    ham ko to ai 'purī' dil-e-nādāñ pe naaz hai

    gar aasman ko mahr-e-daraKHshan pe naz hai

    anjum pe naz hai mah-e-taban pe naz hai

    gulshan ko apne sumbul-o-raihan pe naz hai

    aur baghban ko apne gulistan pe naz hai

    shaKHon ko andalib ke naghmon pe naz hai

    aur andalib ko gul-e-KHandan pe naz hai

    sabza ko apne gauhar-e-larzan pe naz hai

    sahn-e-chaman ko husn-e-KHiraman pe naz hai

    shair ko apne husn-e-liyaqat pe naz hai

    aashiq ko apne sina-e-biryan pe naz hai

    ashkon ko garche apni rawani pe naz hai

    aahon ko apni aatish-e-sozan pe naz hai

    mansur-e-pak-baz ko dar-o-rasan pe naz

    majnun ko apne chaak-e-gareban pe naz hai

    zauq-e-fana pe naz hai garche patang ko

    mahfil ko apni sham-e-farozan pe naz hai

    isyan ko garche rahmat-e-yazdan pe naz hai

    rahmat ko afw-e-kasrat-e-isyan pe naz hai

    apni bala se gar koi nazan KHirad pe ho

    hum ko to ai 'puri' dil-e-nadan pe naz hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now