dil-e-pur-KHun
dil bahut dukhtā hai har baat pe dil dukhtā hai
sub.h-e-nau-ḳhez pe sūraj kī jahāñbānī pe
shām-e-dil-doz pe anjām-e-gul-andāmī pe
aks-e-maujūd pe
anvār-e-ruḳh-e-zebā pe
naqsh-e-mauhūm pe aḳhaf-e-dil-e-fardā pe
bast-e-aflāk pe afsāna-e-ra.anā.ī pe
sharh-e-nairañgī-e-hastī-o-zuleḳhā.ī pe
raat ke soz pe shāmoñ ke mahak jaane pe
hiddat-e-shauq meñ kaliyoñ ke chaTaḳh jaane pe
muzmahil tāroñ pe sahme hue aivānoñ pe
qahva-ḳhānoñ meñ jam.a shahar ke dīvānoñ pe
riñd-e-maḳhmūr-o-balā-nosh pe parvānoñ meñ
sham-e-kushta pe ujḌe hue insānoñ pe
ārzūoñ kī subuk-sārī pe arzānī pe
dil shafaq rañg pe jazboñ kī farāvānī pe
husn-e-ḳhud-ārā-o-ḳhud-bīñ kī dil-ārā.ī pe
ishq-e-maḳhmūr kī jāñ-sozī-o-tanhā.ī pe
pahlū-e-dil se kahīñ lag ke koī rotā hai
dast-e-qātil pe kahīñ ashk kahīñ dhabbe haiñ
dil masaltā hai koī haath meñ le kar har dam
dil bahut dukhtā hai har baat pe dil dukhtā hai
dil bahut dukhta hai har baat pe dil dukhta hai
subh-e-nau-KHez pe suraj ki jahanbani pe
sham-e-dil-doz pe anjam-e-gul-andami pe
aks-e-maujud pe
anwar-e-ruKH-e-zeba pe
naqsh-e-mauhum pe aKHaf-e-dil-e-farda pe
bast-e-aflak pe afsana-e-ranai pe
sharh-e-nairangi-e-hasti-o-zuleKHai pe
raat ke soz pe shamon ke mahak jaane pe
hiddat-e-shauq mein kaliyon ke chaTaKH jaane pe
muzmahil taron pe sahme hue aiwanon pe
qahwa-KHanon mein jama shahar ke diwanon pe
rind-e-maKHmur-o-bala-nosh pe parwanon mein
sham-e-kushta pe ujDe hue insanon pe
aarzuon ki subuk-sari pe arzani pe
dil shafaq rang pe jazbon ki farawani pe
husn-e-KHud-ara-o-KHud-bin ki dil-arai pe
ishq-e-maKHmur ki jaan-sozi-o-tanhai pe
pahlu-e-dil se kahin lag ke koi rota hai
dast-e-qatil pe kahin ashk kahin dhabbe hain
dil masalta hai koi hath mein le kar har dam
dil bahut dukhta hai har baat pe dil dukhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.