dil-e-viran
samajhte kyā ho tum dil ko
bil-āḳhir kyā samajhte ho
kabhī kahte ho patthar hai
tarāsho ḳhuub nikhregā
kabhī shīsha samajhte ho
jo āñdhī ne bikherā ho
siyah vo raaz sadiyoñ ke
isī dil meñ chhupāte ho
kabhī murda sī yādoñ ko
bhī siine meñ dabāte ho
maiñ aksar farz kartī huuñ
maiñ jo tum se agar kah duuñ
ki dil meñ koī bastā hai
nigāhoñ meñ utartā hai
bahāroñ meñ sañvartā hai
vo dil ko ghar batātā hai
vo ghar meñ but banātā hai
vo ḳhud kā aks chintā hai
vo dil ko chaak kartā hai
maiñ us kī kārsāzī meñ
ḳhamoshī se taḌaptī huuñ
use apnā batāne ke
amal ko phir jhapaTtī huuñ
duā kartī huuñ qudrat se
ki jis ne ghar banāyā thā
jise ghar kā makīñ jaanā
use mehmān kar de to
to qudrat phir mire hāthoñ
ko kuchh auzār detī hai
maiñ apne aap hī is dil
ke ghar ko noch detī huuñ
tumheñ ma.alūm hai kitnī
maiñ ab taklīf sahtī huuñ
ki jab dīvār ko ghar kī
maiñ ḳhud hī saaf kartī huuñ
maiñ aksar farz kartī huuñ
maiñ jo tum se agar kah duuñ
ki dil meñ ab nahīñ koī
ye dil banjar zamīñ koī
to kyā tum phir bhī aaoge
to kyā dil ko sañvāroge
samajhte kya ho tum dil ko
bil-aKHir kya samajhte ho
kabhi kahte ho patthar hai
tarasho KHub nikhrega
kabhi shisha samajhte ho
jo aandhi ne bikhera ho
siyah wo raaz sadiyon ke
isi dil mein chhupate ho
kabhi murda si yaadon ko
bhi sine mein dabaate ho
main aksar farz karti hun
main jo tum se agar kah dun
ki dil mein koi basta hai
nigahon mein utarta hai
bahaaron mein sanwarta hai
wo dil ko ghar batata hai
wo ghar mein but banata hai
wo KHud ka aks chinta hai
wo dil ko chaak karta hai
main us ki karsazi mein
KHamoshi se taDapti hun
use apna batane ke
amal ko phir jhapaTti hun
dua karti hun qudrat se
ki jis ne ghar banaya tha
jise ghar ka makin jaana
use mehman kar de to
to qudrat phir mere hathon
ko kuchh auzar deti hai
main apne aap hi is dil
ke ghar ko noch deti hun
tumhein malum hai kitni
main ab taklif sahti hun
ki jab diwar ko ghar ki
main KHud hi saf karti hun
main aksar farz karti hun
main jo tum se agar kah dun
ki dil mein ab nahin koi
ye dil banjar zamin koi
to kya tum phir bhi aaoge
to kya dil ko sanwaroge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.